narKH baala kun ki arzani hunuz
Interesting Fact
(Dedicated to Amir Khusrau) (October 1971)
abhī abhī ik havā kā jhoñkā
jo terā lahja
jo tere gītoñ paheliyoñ kā amiin ban kar
samā.atoñ ko
hazār lafzoñ kī dāstāneñ sunā gayā hai
abhī abhī be-karāñ sā lamha
jo kitnī sadiyoñ kā bojh uThā.e
guzar gayā hai
jo merī āñkhoñ meñ so.e manzar jagā gayā hai
abhī abhī terā ik sahīfa ik ahd ban kar
dayār-e-dil meñ utar gayā hai
mirā badan reza reza ho kar bikhar gayā hai
maiñ dekhtā huuñ
ki naam terā
zabān terī
kalām terā
zamīñ kī pastī se
āsmāñ kī bulandiyoñ tak
har aane vaale nisāb lamhe kā
peshvā hai
maiñ sochtā huuñ
ki tujh pe likkhūñ
jo tujh pe likkhā
to harf mere
havā meñ tahlīl ho ga.e haiñ
meñ chāhtā huuñ
ki tujh ko sochūñ
jo tujh ko sochā
to zaat terī
paheliyoñ meñ ulajh ga.ī hai
abhi abhi ek hawa ka jhonka
jo tera lahja
jo tere giton paheliyon ka amin ban kar
samaaton ko
hazar lafzon ki dastanen suna gaya hai
abhi abhi be-karan sa lamha
jo kitni sadiyon ka bojh uThae
guzar gaya hai
jo meri aankhon mein soe manzar jaga gaya hai
abhi abhi tera ek sahifa ek ahd ban kar
dayar-e-dil mein utar gaya hai
mera badan reza reza ho kar bikhar gaya hai
main dekhta hun
ki nam tera
zaban teri
kalam tera
zamin ki pasti se
aasman ki bulandiyon tak
har aane wale nisab lamhe ka
peshwa hai
main sochta hun
ki tujh pe likkhun
jo tujh pe likkha
to harf mere
hawa mein tahlil ho gae hain
mein chahta hun
ki tujh ko sochun
jo tujh ko socha
to zat teri
paheliyon mein ulajh gai hai
- Book : جنہیں راستے میں خبر ہوئی (Pg. 129)
- Author : سلیم کوثر
- Publication : فضلی بکس ٹیمپل روڈ،اردو بازار، کراچی
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.