nauha-e-suKHan
mujh ko ye Dar hai mire dost mire yaar kahīñ
gir na jaa.e tire ash.ār kā me.aar kahīñ
dekh kar qadr-shanāsoñ kī tabī'at kā rang
mar na jaa.e tire andar kā kalā-kār kahīñ
pūchhtā kaun hai shā.ir yā suḳhanvar ko ab
aaj ke daur meñ kyā hai batā azmat in kī
dil ko chhū lete haiñ maanā tire naġhme lekin
kyā hai logoñ kī nazar meñ batā qīmat in kī
pūchh kar aa tū zarā shahr ke bāzāroñ se
ek bhī jins-e-suḳhan kā hai ḳharīdār kahīñ
sher kī jāñch-parakh to hai baḌī duur kī baat
ab to mushkil se mileñ sher samajhne vaale
aise māhaul meñ ash.ār kahe kyā koī
is fazā meñ koī kyā shauq suḳhan kā paale
qadr hī jab nahīñ is fan kī rahī kuchh baaqī
kyā numā.ish kare fan apne kī fankār kahīñ
aaj kī nasl adab aur virāsat bhūlī
aglī pīḌhī to hai urdu zabāñ hī se mahrūm
kyā sarāheñ vo tirā fan tirā andāz-e-bayāñ
jin ko alfāz ke ma.anī bhī nahīñ haiñ ma.alūm
is fazā se mujhe Dar hai ki muta.assir ho kar
maan le tū bhī na ai dost mire haar kahīñ
mujh ko ye Dar hai mere dost mere yar kahin
gir na jae tere ashaar ka mear kahin
dekh kar qadr-shanason ki tabi'at ka rang
mar na jae tere andar ka kala-kar kahin
puchhta kaun hai shair ya suKHanwar ko ab
aaj ke daur mein kya hai bata azmat in ki
dil ko chhu lete hain mana tere naghme lekin
kya hai logon ki nazar mein bata qimat in ki
puchh kar aa tu zara shahr ke bazaron se
ek bhi jins-e-suKHan ka hai KHaridar kahin
sher ki jaanch-parakh to hai baDi dur ki baat
ab to mushkil se milen sher samajhne wale
aise mahaul mein ashaar kahe kya koi
is faza mein koi kya shauq suKHan ka pale
qadr hi jab nahin is fan ki rahi kuchh baqi
kya numaish kare fan apne ki fankar kahin
aaj ki nasl adab aur wirasat bhuli
agli piDhi to hai urdu zaban hi se mahrum
kya sarahen wo tera fan tera andaz-e-bayan
jin ko alfaz ke mani bhi nahin hain malum
is faza se mujhe Dar hai ki mutassir ho kar
man le tu bhi na ai dost mere haar kahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.