naujawanon ke nam
ye kin ḳhayāloñ meñ kho rahe ho na.ī hai buniyād-e-āshiyāna
chaman kī ta.amīr is tarah ho ki rashk tum par kare zamāna
ye jaan lo kis maqām par ho chunā hai kis rahguzar ko tum ne
uTho ki tahzīb-e-nau ne baḌh kar badal diyā dahr kā fasāna
tumhāre azm-o-amal meñ pinhāñ faroġh-e-ālam kī quvvateñ haiñ
badal do tadbīr se muqaddar hanūz hālāt kā nishāna
jo dil meñ manzil kī aarzū hai to siikh lo tum ai nau-javāno
har ek aafat kā ruḳh badalnā har ik musībat par muskurānā
tumheñ ḳhabar hai ki ahd-e-māzī meñ daur aise bhī aa chuke haiñ
paḌe rahe tum hī ġhaflatoñ meñ pukārtā rah gayā zamāna
nayā zamāna na.ī hai mahfil na.e haiñ barbat na.ī tarangeñ
purāne rāgoñ ko band kar do fazā ko de do nayā tarāna
na ahl-e-duniyā kī samt dekho judā judā hai mafād sab kā
agarche koshish karoge dil se banegā firdaus āshiyāna
maza to jab hai ai nau-javāno kahe tumheñ āfrīñ mūarriḳh
abhī to hai vaqt sabt kar do tum apnā tārīḳh meñ fasāna
ye kin KHayalon mein kho rahe ho nai hai buniyaad-e-ashiyana
chaman ki tamir is tarah ho ki rashk tum par kare zamana
ye jaan lo kis maqam par ho chuna hai kis rahguzar ko tum ne
uTho ki tahzib-e-nau ne baDh kar badal diya dahr ka fasana
tumhaare azm-o-amal mein pinhan farogh-e-alam ki quwwaten hain
badal do tadbir se muqaddar hanuz haalat ka nishana
jo dil mein manzil ki aarzu hai to sikh lo tum ai nau-jawano
har ek aafat ka ruKH badalna har ek musibat par muskurana
tumhein KHabar hai ki ahd-e-mazi mein daur aise bhi aa chuke hain
paDe rahe tum hi ghaflaton mein pukarta rah gaya zamana
naya zamana nai hai mahfil nae hain barbat nai tarangen
purane ragon ko band kar do faza ko de do naya tarana
na ahl-e-duniya ki samt dekho juda juda hai mafad sab ka
agarche koshish karoge dil se banega firdaus aashiyana
maza to jab hai ai nau-jawano kahe tumhein aafrin muarriKH
abhi to hai waqt sabt kar do tum apna tariKH mein fasana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.