naukri
baat itnī sī thī
ek gul-chīñ ke hāthoñ lagāyā gayā baaġh
us ke hī hāthoñ se miltī huī parvarish ke liye
muntazir thā magar
ab vo gul-chīñ to gul-chīñ rahā hī nahīñ hai ki us ko
kisī aur hī kaam se duur jaanā paḌā hai
use rang-o-bū chhoḌ kar filoñ ko uThānā paḌā hai
use fikr itnī hai us ke ugaa.e hue phuul sūkheñ nahīñ
Tahniyoñ se alag ho ke TūTeñ nahīñ
aur kisī baat par us se rūTheñ nahīñ
baat itnī sī hai
bāġhbānī koī naukrī to nahīñ
baaġh samjhe na samjhe ye gul-chīñ to is dukh meñ Duubā huā hai ki us ne abhī tak usī ke lagā.e hue phūloñ ke rang dekhe nahīñ haiñ
vo bāzār se itr kī shīshiyāñ lā ke kamre meñ baiThā huā us mahak ko banāne kī koshish meñ hai jis se mahrūm hai
baat itnī sī hai
vo jo gul-chīñ thā ab duuje peshe meñ hai
aur vo apne liye kuchh nahīñ kar rahā
baat itni si thi
ek gul-chin ke hathon lagaya gaya bagh
us ke hi hathon se milti hui parwarish ke liye
muntazir tha magar
ab wo gul-chin to gul-chin raha hi nahin hai ki us ko
kisi aur hi kaam se dur jaana paDa hai
use rang-o-bu chhoD kar filon ko uThana paDa hai
use fikr itni hai us ke ugae hue phul sukhen nahin
Tahniyon se alag ho ke TuTen nahin
aur kisi baat par us se ruThen nahin
baat itni si hai
baghbani koi naukri to nahin
bagh samjhe na samjhe ye gul-chin to is dukh mein Duba hua hai ki us ne abhi tak usi ke lagae hue phulon ke rang dekhe nahin hain
wo bazar se itr ki shishiyan la ke kamre mein baiTha hua us mahak ko banane ki koshish mein hai jis se mahrum hai
baat itni si hai
wo jo gul-chin tha ab duje peshe mein hai
aur wo apne liye kuchh nahin kar raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.