naukri
kisī shaḳhs ke saath leTā huā maiñ
nihāyat zarūrī kisī baat par
apnī saarī samajh lā ke mad.hosh huuñ
aur apne hī andar se chillā rahā huuñ
ki kal sub.h mujh ko kisī bhī tarah
is ajiib aadmī se mafar chāhiye
ki ye aadmī bhī mujhe ik jagah roknā chāhtā hai
magar maiñ to maiñ huuñ ki mujh ko to keval safar chāhiye
haañ mafar chāhiye mujh ko is shaḳhs se jo
mirī shakl meñ merī marzī se haT kar
mirī soch ke dā.eroñ se pare hī jiye jā rahā hai
jo karne nahīñ haiñ vo sab aise pesha kiye jā rahā hai
mafar chāhiye is kī nādāniyoñ se
mafar chāhiye is ke hisse meñ aatī pareshāniyoñ se
mafar chāhiye is kī us zaat se jis ko duniyā
mire naam se to bhale jāntī hai magar ek shā.ir nahīñ māntī
balki ik pesha-var aadmī kī tarah dekhtī rahtī hai
ab maiñ is ke binā shā.irī ke samundar meñ tanhā safar chāhtā huuñ
maiñ misroñ kī maujoñ pe bahtā huā apne hāthoñ ke hisse hunar chāhtā huuñ
maiñ Dar chāhtā huuñ ki is nazm meñ bhī faūlun faūlun kī tai-shuda ravānī banī hī rahe
kuchh zarūrī tavāzun-o-tartīb kho.e binā is ke uslūb meñ ik javānī banī hī rahe
ḳhair ye shaḳhs jo mere sañg mere andar hī
leTā huā hai bahut DhiiT hai
is ko merī tarah koī parvā nahīñ hai
ki ab is kī duniyā meñ duniyā nahīñ hai
ai bujhte qamar ham-safīr-e-bashar
ab maiñ so jaatā huuñ aur ye tū dekhnā
raat kī vus.ateñ kyā nigal jā.eñgī
aur mirī sub.h ke hisse kyā aa.egā
kisi shaKHs ke sath leTa hua main
nihayat zaruri kisi baat par
apni sari samajh la ke madhosh hun
aur apne hi andar se chilla raha hun
ki kal subh mujh ko kisi bhi tarah
is ajib aadmi se mafar chahiye
ki ye aadmi bhi mujhe ek jagah rokna chahta hai
magar main to main hun ki mujh ko to kewal safar chahiye
han mafar chahiye mujh ko is shaKHs se jo
meri shakl mein meri marzi se haT kar
meri soch ke daeron se pare hi jiye ja raha hai
jo karne nahin hain wo sab aise pesha kiye ja raha hai
mafar chahiye is ki nadaniyon se
mafar chahiye is ke hisse mein aati pareshaniyon se
mafar chahiye is ki us zat se jis ko duniya
mere nam se to bhale jaanti hai magar ek shair nahin manti
balki ek pesha-war aadmi ki tarah dekhti rahti hai
ab main is ke bina shairi ke samundar mein tanha safar chahta hun
main misron ki maujon pe bahta hua apne hathon ke hisse hunar chahta hun
main Dar chahta hun ki is nazm mein bhi faulun faulun ki tai-shuda rawani bani hi rahe
kuchh zaruri tawazun-o-tartib khoe bina is ke uslub mein ek jawani bani hi rahe
KHair ye shaKHs jo mere sang mere andar hi
leTa hua hai bahut DhiT hai
is ko meri tarah koi parwa nahin hai
ki ab is ki duniya mein duniya nahin hai
ai bujhte qamar ham-safir-e-bashar
ab main so jata hun aur ye tu dekhna
raat ki wusaten kya nigal jaengi
aur meri subh ke hisse kya aaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.