naya ghar
kahīñ duur bastī kī āġhosh meñ
vo humaktā huā ik nayā ghar
apne atrāf se be-ḳhabar
nanhe bachche ke mānind hañstā huā
ik na.e-pan kī ḳhushbū meñ bastā huā
hamesha mujhe aur tum ko bulātā rahegā
apnī muTThī ke ghuñghrū bajātā rahegā
vo nayā ghar jo merā tumhārā nahīñ thā
kisī taur se bhī hamārā nahīñ thā
kūcha kūcha bhaTakte hue jis ke dar par
thake-hāre ham tum shikasta-dil o ḳhāk-basar
tan pe bār-e-nadāmat uThā.e hue ruk ga.e the
us ke dīvār-o-dar farsh o āñgan
hameñ dekh kar kis tarah jhuk ga.e the
us ke phaile hue bāzuoñ ne
hameñ is tarah se samoyā
aur aisī jagah dī
ki chehroñ kī miTTī rifāqat kī afshāñ banī
aur nadāmat kī zardī na jaane kahāñ miT ga.ī
mujh ko aisā lagā jaise anmol motī
tah-e-āb se mauj-dar-mauj laḌtā huā
ḳhud kināre tak aa.e
apnā ḳhākistarī ḳhol sūraj kī tahvīl meñ de ke
saarī thakan bhuul jaa.e
phir shuā-e-mohabbat se saarā jahāñ jagmagā.e
mere dal ne duā dī ḳhudāvañd-e-bartar
isī raushnī meñ nahātā rahe ye nayā ghar
apnī muTThī ke ghuñghrū bajātā rahe ye nayā ghar
hamārī tarah dūsre dil-zadoñ ko bulātā rahe ye nayā ghar
kahin dur basti ki aaghosh mein
wo humakta hua ek naya ghar
apne atraf se be-KHabar
nanhe bachche ke manind hansta hua
ek nae-pan ki KHushbu mein basta hua
hamesha mujhe aur tum ko bulata rahega
apni muTThi ke ghunghru bajata rahega
wo naya ghar jo mera tumhaara nahin tha
kisi taur se bhi hamara nahin tha
kucha kucha bhaTakte hue jis ke dar par
thake-haare hum tum shikasta-dil o KHak-basar
tan pe bar-e-nadamat uThae hue ruk gae the
us ke diwar-o-dar farsh o aangan
hamein dekh kar kis tarah jhuk gae the
us ke phaile hue bazuon ne
hamein is tarah se samoya
aur aisi jagah di
ki chehron ki miTTi rifaqat ki afshan bani
aur nadamat ki zardi na jaane kahan miT gai
mujh ko aisa laga jaise anmol moti
tah-e-ab se mauj-dar-mauj laDta hua
KHud kinare tak aae
apna KHakistari KHol suraj ki tahwil mein de ke
sari thakan bhul jae
phir shua-e-mohabbat se sara jahan jagmagae
mere dal ne dua di KHudawand-e-bartar
isi raushni mein nahata rahe ye naya ghar
apni muTThi ke ghunghru bajata rahe ye naya ghar
hamari tarah dusre dil-zadon ko bulata rahe ye naya ghar
- Book : Shaam Kaa Phahlaa Taaraa (Pg. 53)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.