naya istiara
use dekhte hī
tamāzat kā ehsās baḌhne lagā hai
ye dīvāreñ kaisī uThā.ī ga.ī thiiñ
ki jin kī bulandī
hamāre saroñ se churā le ga.ī chhat
ye dahlīz kin pattharoñ se banī thī
ki jis ko kabhī paar karne kī himmat nahīñ thī kisī meñ
ye ghar kaisā ghar hai
ki dīvār-o-dar is meñ be-intihā haiñ
ye bāhar kā rasta nahīñ shart koī
na saaya hai us ke muqaddar kā likkhā
faqat chilchilātī huī dhuup detī hai pahra
ye be-sā.ebāñ ghar
ki jis se kabhī kuchh shikāyat nahīñ thī
ise kyoñ malāmat se takne lage haiñ
koī abr-pāra
koī shāḳh-e-zaitūn
agar hai bhī sar par to bas ek lamha
tamāzat kā jaise nayā isti.āra
use dekhte hi
tamazat ka ehsas baDhne laga hai
ye diwaren kaisi uThai gai thin
ki jin ki bulandi
hamare saron se chura le gai chhat
ye dahliz kin pattharon se bani thi
ki jis ko kabhi par karne ki himmat nahin thi kisi mein
ye ghar kaisa ghar hai
ki diwar-o-dar is mein be-intiha hain
ye bahar ka rasta nahin shart koi
na saya hai us ke muqaddar ka likkha
faqat chilchilati hui dhup deti hai pahra
ye be-saeban ghar
ki jis se kabhi kuchh shikayat nahin thi
ise kyon malamat se takne lage hain
koi abr-para
koi shaKH-e-zaitun
agar hai bhi sar par to bas ek lamha
tamazat ka jaise naya istiara
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.