naya janm
ajnabī jaan ke ik shaḳhs ne yuuñ mujh se kahā
vo makāñ niim kā vo peḌ khaḌā hai jis meñ
khiḌkiyāñ jis kī ka.ī saal se lab-basta haiñ
jis ke darvāze kī zanjīr ko hasrat hī rahī
koī aa.e to vo hāthoñ meñ machal ke rah jaa.e
shor-e-be-rabti-e-āhañg meñ Dhal ke rah jaa.e
vo makāñ jis ke dar-o-bām ka.ī sāloñ se
muntazir haiñ, koī mahtāb-sifat shahzāda
un kā har gosha-e-tārīk munavvar kar de
log kahte haiñ yahāñ raat ke sannāTe meñ
kuchh ajab tarah kī āvāzeñ huā kartī haiñ
chūḌiyāñ pā.eleñ pāzebeñ bajā kartī haiñ
ek āvāz ki ''tum ne to mujhe chāhā thā''
ek āvāz ki ''tum ahd-e-vafā bhuul ga.e''
ek siskī ki ''mirā sāġhar-e-jam TuuT gayā''
ek naala ki ''mirā mujh se sanam chhūT gayā''
log kahte haiñ ka.ī saal hue is ghar meñ
ḳhūb-sūrat sā koī shaḳhs rahā kartā thā
chāñdnī rātoñ meñ ash.ār kahā kartā thā
ḳhūb-rūvoñ ne use jān-e-vafā jaanā thā
jaane kis kis ne use apnā ḳhudā maanā thā
log kahte haiñ ki ik raat ke sannāTe meñ
ik parī aa.ī idhar taḳht-e-sulaimānī par
jaane kis des uḌā le ga.ī shahzāde ko
ajnabī jaan ke us shaḳhs ne yuuñ mujh se kahā
maiñ magar soch rahā thā ki koī pahchān na le
ajnabi jaan ke ek shaKHs ne yun mujh se kaha
wo makan nim ka wo peD khaDa hai jis mein
khiDkiyan jis ki kai sal se lab-basta hain
jis ke darwaze ki zanjir ko hasrat hi rahi
koi aae to wo hathon mein machal ke rah jae
shor-e-be-rabti-e-ahang mein Dhal ke rah jae
wo makan jis ke dar-o-baam kai salon se
muntazir hain, koi mahtab-sifat shahzada
un ka har gosha-e-tarik munawwar kar de
log kahte hain yahan raat ke sannaTe mein
kuchh ajab tarah ki aawazen hua karti hain
chuDiyan paelen pazeben baja karti hain
ek aawaz ki tum ne to mujhe chaha tha
ek aawaz ki tum ahd-e-wafa bhul gae
ek siski ki mera saghar-e-jam TuT gaya
ek nala ki mera mujh se sanam chhuT gaya
log kahte hain kai sal hue is ghar mein
KHub-surat sa koi shaKHs raha karta tha
chandni raaton mein ashaar kaha karta tha
KHub-ruwon ne use jaan-e-wafa jaana tha
jaane kis kis ne use apna KHuda mana tha
log kahte hain ki ek raat ke sannaTe mein
ek pari aai idhar taKHt-e-sulaimani par
jaane kis des uDa le gai shahzade ko
ajnabi jaan ke us shaKHs ne yun mujh se kaha
main magar soch raha tha ki koi pahchan na le
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.