naya khilauna
ik parinde kī sūrat
maiñ apnī hī āzād chhoTī sī duniyā
meñ thī ḳhush-o-ḳhurram
to phir kyā huā
mujhe yaad hai ḳhuub achchhī tarah
tum aa.e merī zindagī meñ
prism ek laa.e
mujhe pesh kar dī
na.e is khilaune ke saath
maiñ bachche kī mānind ḳhush thī
khilaune se jab jhāñktī thī
to duniyā thī lagtī baḌī ḳhūbsūrat
rang hī rang thā har taraf
kabhī to vo qaus-e-quzah ko
pakaḌne kī ḳhvāhish machaltī thī mujh meñ
achānak hī vo pyārā pyārā khilaunā
kisī aur ko sauñp dene kī ḳhātir
ma.an chhīn kar tum ne mujh se
mujhe chhoḌ Daalā alag
ik parinde kī mānind
yādoñ ke pinjre meñ jakḌā huā
ek parinde ki surat
main apni hi aazad chhoTi si duniya
mein thi KHush-o-KHurram
to phir kya hua
mujhe yaad hai KHub achchhi tarah
tum aae meri zindagi mein
prism ek lae
mujhe pesh kar di
nae is khilaune ke sath
main bachche ki manind KHush thi
khilaune se jab jhankti thi
to duniya thi lagti baDi KHubsurat
rang hi rang tha har taraf
kabhi to wo qaus-e-quzah ko
pakaDne ki KHwahish machalti thi mujh mein
achanak hi wo pyara pyara khilauna
kisi aur ko saunp dene ki KHatir
man chhin kar tum ne mujh se
mujhe chhoD Dala alag
ek parinde ki manind
yaadon ke pinjre mein jakDa hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.