naya KHun
ḳhaak par gir ke lahū kaun-o-makāñ tak pahuñchā
raushnī ban ke mah-o-kāhkashāñ tak pahuñchā
arsh-e-a.azam ke pare lauh-o-qalam se aage
karbalā se ye lahū jaane kahāñ tak pahuñchā
ye lahū ban ke jalā rāh-e-vafā meñ qindīl
kārvāñ marhala-e-azm-e-javāñ tak pahuñchā
tāzgī ban ke rag-e-lāla-o-gul meñ dauḌā
abr ban-ban ke bayābān-e-tapāñ tak pahuñchā
ye lahū chheḌ gayā silsila-e-dār-o-rasan
ye lahū aag kī sūrat rag-e-jāñ tak pahuñchā
jal ga.ī sham.a añdheroñ kā jigar chaak huā
ye lahū vaqt kī lahroñ pe jahāñ tak pahuñchā
inqilābāt kī tārīḳh kā unvāñ ban kar
ye lahū qatl-gah-e-asr-e-ravāñ tak pahuñchā
chārāgar aa.e bahut koī masīhā na huā
sīna-e-arz ke zaḳhmoñ kā mudāvā na huā
karbalā aaj bhī barpā hai ba-andāz-e-digar
dasht meñ raqs-e-shahīdāñ kā tamāsha na huā
band hai aaj bhī kitnoñ ke liye nahr-e-furāt
ma.arka koī ba-zāhir lab-e-dariyā na huā
zainabeñ apne gharoñ meñ haiñ ridā se mahrūm
dasht-o-kohsār meñ ḳhema kahīñ barpā na huā
raat piitī hī rahī chāñd-sitāroñ kā lahū
vaqt kī tiira fazāoñ meñ ujālā na huā
kaun sā vaqt hai phir ruuh kī bedārī kā
zaḳhm-e-ehsās agar aaj bhī taazā na huā
dil ko bedār kareñ ruuh ko bebāk kareñ
asr-e-hāzir ke yazīdoñ kī qabā chaak kareñ
ashk be-sūd rahe kisht-e-tamannā ke liye
ḳhūn-e-dil ḳhūn-e-jigar se ise namnāk kareñ
mauj-e-ḳhūñ ġhāza-e-ruḳhsār-e-umam hotī hai
aao ab vaqt kī āvāz kā idrāk kareñ
zer-e-mehrāb nahīñ hotī mohabbat kī namāz
sāya-e-dār meñ ik sajda-e-be-bāk kareñ
KHak par gir ke lahu kaun-o-makan tak pahuncha
raushni ban ke mah-o-kahkashan tak pahuncha
arsh-e-azam ke pare lauh-o-qalam se aage
karbala se ye lahu jaane kahan tak pahuncha
ye lahu ban ke jala rah-e-wafa mein qindil
karwan marhala-e-azm-e-jawan tak pahuncha
tazgi ban ke rag-e-lala-o-gul mein dauDa
abr ban-ban ke bayaban-e-tapan tak pahuncha
ye lahu chheD gaya silsila-e-dar-o-rasan
ye lahu aag ki surat rag-e-jaan tak pahuncha
jal gai shama andheron ka jigar chaak hua
ye lahu waqt ki lahron pe jahan tak pahuncha
inqilabaat ki tariKH ka unwan ban kar
ye lahu qatl-gah-e-asr-e-rawan tak pahuncha
chaaragar aae bahut koi masiha na hua
sina-e-arz ke zaKHmon ka mudawa na hua
karbala aaj bhi barpa hai ba-andaz-e-digar
dasht mein raqs-e-shahidan ka tamasha na hua
band hai aaj bhi kitnon ke liye nahr-e-furaat
marka koi ba-zahir lab-e-dariya na hua
zainaben apne gharon mein hain rida se mahrum
dasht-o-kohsar mein KHema kahin barpa na hua
raat piti hi rahi chand-sitaron ka lahu
waqt ki tera fazaon mein ujala na hua
kaun sa waqt hai phir ruh ki bedari ka
zaKHm-e-ehsas agar aaj bhi taza na hua
dil ko bedar karen ruh ko bebak karen
asr-e-hazir ke yazidon ki qaba chaak karen
ashk be-sud rahe kisht-e-tamanna ke liye
KHun-e-dil KHun-e-jigar se ise namnak karen
mauj-e-KHun ghaza-e-ruKHsar-e-umam hoti hai
aao ab waqt ki aawaz ka idrak karen
zer-e-mehrab nahin hoti mohabbat ki namaz
saya-e-dar mein ek sajda-e-be-bak karen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.