naya prometheus
maiñ ḳhushbū jism samundar āñkhoñ kā
ik ḳhvāb churā kar laayā thā
maiñ aag churā kar laayā thā
sahrā-e-vajūd kī tanhā.ī us ḳhvāb se kitnī shādāñ thī
us ātish-e-larzāñ kī tābish taḳhlīq kī zau meñ numāyāñ thī
mirā ḳhvāb vo merā phuul badan
marī aag mire fardā kā chaman
maiñ ḳhvāboñ se masrūr rahā
maiñ ātish par maġhrūr rahā
phir lahr uThī phir qahr huā mirā ḳhvāb hī mujh ko zahr huā
patthar kī chaTTānoñ par mujh ko
zanjīroñ se vābasta kiyā
ḳhud aag bhī ik zanjīr banī
zanjīr banī shamshīr banī
har qais ne mujh ko ye paiġhām diyā
ye haal hamesha qaa.em hai is haal kā istiqbāl nahīñ
is haal kī chakkī meñ tum ko har lamhe piste rahnā hai
tum kaise rihā.ī pāoge
aisā to koī paidā na huā jo tum ko rihā.ī de aa kar
tum ḳhvāboñ se masrūr hue jo boyā thā vo kāTo.ge
sab apne kiye kī ḳhūbī hai a.amāl ko apne bhugtoge
koī niiñd nahīñ koī ḳhvāb nahīñ koī nuur nahīñ koī naar nahīñ
fariyād tumhārī bolī hai alfāz tumhāre aaheñ haiñ
ik qahr-e-ġhazab kargas ke liye
hai jism tumhārā dastarḳhavāñ
vo dastarḳhavāñ pe bikhrī ne.amat se
maflūj-o-siyāh jigar kī lazzat se
har lamhe lutf uThā.egā
har lamhe shor machā.egā
maiñ ḳhushbū jism samundar āñkhoñ kā
ik ḳhvāb churā kar laayā thā
maiñ aag churā kar laayā thā
patthar kī chaTānoñ ne mujh ko
ik mufaffa gosht kā ruup diyā
zanjīreñ girdā-gird rahīñ
ik qahr-e-ġhazab kargas ab tak
kabhī merī āñkheñ nochte haiñ
kabhī un kī lahar-e-minqār se mere dil kī rageñ
ik ne kī hikāyat chheḌtī haiñ
jo mujh ko rihā.ī de aa kar
jo dard ko ḳhud mahsūs kare
vo aisī jagah ḳhvābīda hai
jahāñ sūraj bhī tārīk huā
kyā jāniye vo kab aa.egā
kab aa.egā kyā vāqa.ī aa.egā
main KHushbu jism samundar aankhon ka
ek KHwab chura kar laya tha
main aag chura kar laya tha
sahra-e-wajud ki tanhai us KHwab se kitni shadan thi
us aatish-e-larzan ki tabish taKHliq ki zau mein numayan thi
mera KHwab wo mera phul badan
mari aag mere farda ka chaman
main KHwabon se masrur raha
main aatish par maghrur raha
phir lahr uThi phir qahr hua mera KHwab hi mujh ko zahr hua
patthar ki chaTTanon par mujh ko
zanjiron se wabasta kiya
KHud aag bhi ek zanjir bani
zanjir bani shamshir bani
har qais ne mujh ko ye paigham diya
ye haal hamesha qaem hai is haal ka istiqbaal nahin
is haal ki chakki mein tum ko har lamhe piste rahna hai
tum kaise rihai paoge
aisa to koi paida na hua jo tum ko rihai de aa kar
tum KHwabon se masrur hue jo boya tha wo kaToge
sab apne kiye ki KHubi hai aamal ko apne bhugtoge
koi nind nahin koi KHwab nahin koi nur nahin koi nar nahin
fariyaad tumhaari boli hai alfaz tumhaare aahen hain
ek qahr-e-ghazab kargas ke liye
hai jism tumhaara dastarKHawan
wo dastarKHawan pe bikhri neamat se
mafluj-o-siyah jigar ki lazzat se
har lamhe lutf uThaega
har lamhe shor machaega
main KHushbu jism samundar aankhon ka
ek KHwab chura kar laya tha
main aag chura kar laya tha
patthar ki chaTanon ne mujh ko
ek mufaffa gosht ka rup diya
zanjiren girda-gird rahin
ek qahr-e-ghazab kargas ab tak
kabhi meri aankhen nochte hain
kabhi un ki lahar-e-minqar se mere dil ki ragen
ek ne ki hikayat chheDti hain
jo mujh ko rihai de aa kar
jo dard ko KHud mahsus kare
wo aisi jagah KHwabida hai
jahan suraj bhi tarik hua
kya jaaniye wo kab aaega
kab aaega kya waqai aaega
- Book : siip (Magzin) (Pg. 165)
- Author : Nasiim Durraani
- Publication : Fikr-e-Nau (39 (Quarterly) )
- Edition : 39 (Quarterly)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.