naya qasid
daur-e-hāzir kā pyaar bhī hai jadīd
niiñd ḳhud guftugū meñ hai haa.il
kho ga.ī pyaar meñ hai ye mahvash
sone vāloñ meñ jo nahīñ shāmil
jism lipTā hai jis kā bistar meñ
zāhirī taur par hai be-harakat
lekin us ke hai haath meñ ik phone
jo hai qāsid kī ik na.ī sūrat
pinhāñ rishte na.ī javānī ke
aur dushman hai vaqt ujāle kā
is pe vo kar rahī hai kuchh Type
kar de dil ḳhush jo paḌhne vaale kā
be-ḳhabar vāldain so rahe haiñ
Dartī hai ho kisī ko us pe na shak
raat ke tiin baj chuke haiñ magar
un kī beTī hai jāgtī ab tak
daur-e-hazir ka pyar bhi hai jadid
nind KHud guftugu mein hai hail
kho gai pyar mein hai ye mahwash
sone walon mein jo nahin shamil
jism lipTa hai jis ka bistar mein
zahiri taur par hai be-harakat
lekin us ke hai hath mein ek phone
jo hai qasid ki ek nai surat
pinhan rishte nai jawani ke
aur dushman hai waqt ujale ka
is pe wo kar rahi hai kuchh Type
kar de dil KHush jo paDhne wale ka
be-KHabar waldain so rahe hain
Darti hai ho kisi ko us pe na shak
raat ke tin baj chuke hain magar
un ki beTi hai jagti ab tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.