Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

naya sal

MORE BYNishtar Jalandhari

    ye kyā mājrā hai ye kyā mājrā hai

    ki har shai na.ī hai nazāra nayā hai

    jidhar aañkh uThāo samāñ nuur hai

    ḳhushī zamāne pe hai rang chhāyā

    mubārak ho bachcho nayā saal aaya

    jo guzrā so guzrā use bhuul jaao

    uTho haañ uTho aur himmat dikhāo

    paḌho shauq se aur in.aam paao

    tarāna yahī aaj har ik ne gaayā

    mubārak ho bachcho nayā saal aaya

    koī rahā hai koī aa rahā hai

    ghaTā tarah har taraf chhā rahā hai

    ġharaz jis ko dekho baḌhā rahā hai

    vahī baḌh gayā paañv jis ne baḌhāyā

    mubārak ho bachcho nayā saal aaya

    jo haiñ ham-jamā.at karo un se ulfat

    kareñge phir ustād tum se mohabbat

    karo baap maañ adab aur izzat

    salāmat rahe in buzurgoñ saaya

    mubārak ho bachcho nayā saal aaya

    ye kya majra hai ye kya majra hai

    ki har shai nai hai nazara naya hai

    jidhar aankh uThao saman nur ka hai

    KHushi ka zamane pe hai rang chhaya

    mubarak ho bachcho naya sal aaya

    jo guzra so guzra use bhul jao

    uTho han uTho aur himmat dikhao

    paDho shauq se aur inam pao

    tarana yahi aaj har ek ne gaya

    mubarak ho bachcho naya sal aaya

    koi ja raha hai koi aa raha hai

    ghaTa ki tarah har taraf chha raha hai

    gharaz jis ko dekho baDha ja raha hai

    wahi baDh gaya panw jis ne baDhaya

    mubarak ho bachcho naya sal aaya

    jo hain ham-jamaat karo un se ulfat

    karenge phir ustad tum se mohabbat

    karo bap man ka adab aur izzat

    salamat rahe in buzurgon ka saya

    mubarak ho bachcho naya sal aaya

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now