naya trend
larzā taarī hai
sarkārī daftaroñ se manzūr-shuda zindagī kā bharosa hī kyā hai
magar sifārshī kī jeb meñ safed
shanāḳhtī card dekh kar dil ko thoḌī tasallī to huī
siyāh chehre vaalā kam-az-kam
dhoka to safed-o-safed bechtā hai
yaqīnan ye ġhair fitrī 'amal hai
daftaroñ ke usuul to
chaprāsiyoñ ke muñh se Tapaktī raal se tahrīr hote haiñ
ye tahrīr-shuda narḳh-nāme
baa'z auqāt imlā kī aġhlāt ke saath hī
baḌe afsarān kī Tebaloñ ke nīche photocopy hote haiñ
aur photocopy kī qīmatoñ meñ radd-o-badal se
zindagī aur ḳhvāhish-e-zindagī ke
narḳh badalte haiñ
daftarī mu'āmalāt to aise hī chalte haiñ
ab yahāñ koī ye na samjhe ki
ye currency kā ek-tarfa kārobār
'adl-o-insāf kī burī ending hai
bhaa.ī sāhab ye trending hai
larza tari hai
sarkari daftaron se manzur-shuda zindagi ka bharosa hi kya hai
magar sifarshi ki jeb mein safed
shanaKHti card dekh kar dil ko thoDi tasalli to hui
siyah chehre wala kam-az-kam
dhoka to safed-o-safed bechta hai
yaqinan ye ghair fitri 'amal hai
daftaron ke usul to
chaprasiyon ke munh se Tapakti ral se tahrir hote hain
ye tahrir-shuda narKH-name
ba'z auqat imla ki aghlat ke sath hi
baDe afsaran ki Tebalon ke niche photocopy hote hain
aur photocopy ki qimaton mein radd-o-badal se
zindagi aur KHwahish-e-zindagi ke
narKH badalte hain
daftari mu'amalat to aise hi chalte hain
ab yahan koi ye na samjhe ki
ye currency ka ek-tarfa karobar
'adl-o-insaf ki buri ending hai
bhai sahab ye trending hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.