nazar bhar dekh lun bas
pata hai
tumhāre saath
mere saath
kitne ittifāq ik saath hue hoñge
to ye sūrat banī hai
ki ham ik saath sāñseñ le rahe haiñ
ki ham ik saath haiñ is vaqt duniyā meñ
yahī sab se baḌā rishta hai shāyad mujh meñ tum meñ
maiñ aisā jāntā huuñ
ki is rishte se har insāñ jo duniyā meñ hai rishte-dār hai merā
magar in rishte-dāroñ ko nahīñ ma.alūm mere
maiñ kyā lagtā huuñ in kā
so maiñ bhī
ta.āruf is havāle se kabhī un ko nahīñ detā
mirī ḳhvāhish bas itnī hai ki maiñ jaane se pahle is jahāñ se
ziyāda se ziyāda apne logoñ ko nazar bhar dekh luuñ bas
to chhū kar dekh luuñ bas
samajh meñ aa gayā ab
sahar se shaam tak maiñ kis liye saḌkoñ pe phirtā huuñ
maiñ khiḌkī se lagī ik seat kī ḳhātir safar meñ
kisī bachche kī sūrat kyuuñ jhagaḌtā huuñ
pata hai
tumhaare sath
mere sath
kitne ittifaq ek sath hue honge
to ye surat bani hai
ki hum ek sath sansen le rahe hain
ki hum ek sath hain is waqt duniya mein
yahi sab se baDa rishta hai shayad mujh mein tum mein
main aisa jaanta hun
ki is rishte se har insan jo duniya mein hai rishte-dar hai mera
magar in rishte-daron ko nahin malum mere
main kya lagta hun in ka
so main bhi
taaruf is hawale se kabhi un ko nahin deta
meri KHwahish bas itni hai ki main jaane se pahle is jahan se
ziyaada se ziyaada apne logon ko nazar bhar dekh lun bas
to chhu kar dekh lun bas
samajh mein aa gaya ab
sahar se sham tak main kis liye saDkon pe phirta hun
main khiDki se lagi ek seat ki KHatir safar mein
kisi bachche ki surat kyun jhagaDta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.