aaj bahut se lafz jo rah ga.e the
aur vo ThiThurte hue harf
jin ko yakjā karnā ba-mushkil thā
kuchh jazbāt jo dil ke
dāman se lag kar sisak rahe the
sochoñ kā be-hañgam hujūm
jo dimāġh kī hudūd se musalsal Takrā rahā thā
ehsāsāt jin kī kokh meñ
udāsī bechārgī past ḳhālī ne janm liyā thā
un meñ ka.ī jazbe bhī the
jin kī daurān-e-hamal hī maut ho ga.ī
kuchh TukḌe bhī the siyāh-baḳhtī ke
kuchh rahzan bhī jo ḳhayālāt kī aabrū
luuT liyā karte the
aaj un rahzanoñ ko suulī par chaḌhā diyā gayā
insāf huā aur insāf ye huā ki
tum duur baiThe dekh rahī thī bahut ḳhāmoshī
aur dilchaspī kā mojid banā khel khel ke liye
aaj in sab lafzoñ harūfoñ ehsāsāt
jazbāt aur sochoñ ko
tere ḳhayāl se ġhusl diyā
araq-e-gulāb jo terī suujī āñkhoñ
se bah rahā thā
is araq ko lāshe par chhiḌakte hue
aaj unheñ dafnā diyā gayā
aaj bahut se lafz jo rah gae the
aur wo ThiThurte hue harf
jin ko yakja karna ba-mushkil tha
kuchh jazbaat jo dil ke
daman se lag kar sisak rahe the
sochon ka be-hangam hujum
jo dimagh ki hudud se musalsal Takra raha tha
ehsasat jin ki kokh mein
udasi bechaargi past KHali ne janm liya tha
un mein kai jazbe bhi the
jin ki dauran-e-hamal hi maut ho gai
kuchh TukDe bhi the siyah-baKHti ke
kuchh rahzan bhi jo KHayalat ki aabru
luT liya karte the
aaj un rahzanon ko suli par chaDha diya gaya
insaf hua aur insaf ye hua ki
tum dur baiThe dekh rahi thi bahut KHamoshi
aur dilchaspi ka mojid bana khel khel ke liye
aaj in sab lafzon harufon ehsasat
jazbaat aur sochon ko
tere KHayal se ghusl diya
araq-e-gulab jo teri suji aankhon
se bah raha tha
is araq ko lashe par chhiDakte hue
aaj unhen dafna diya gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.