nazm
merī nazm ko duur se dekho
duur se mahsūs karo
us se baat mat karo
us ko chhūne kī havas ko
shāmil kar lo
apne ik ḳhvāb meñ
ziyāda miThās
aur kaḌvāhaT kā zā.iqa
ek sā hotā hai
tum is nazm ko
apnī kamar par ḳhushk ghaḌā tasavvur karo
tumheñ duur, sahrā se paanī lene jaanā hai
vahāñ tumheñ do āñkheñ mileñgī
un meñ ye nazm hogī
tum is nazm kī āñkhoñ se
bahte hue āñsuoñ ko, apne badan meñ
shāmil na karnā
udaas ho jāogī
aur ye nazm
tumheñ udaas hote hue
nahīñ dekh saktī
meri nazm ko dur se dekho
dur se mahsus karo
us se baat mat karo
us ko chhune ki hawas ko
shamil kar lo
apne ek KHwab mein
ziyaada miThas
aur kaDwahaT ka zaiqa
ek sa hota hai
tum is nazm ko
apni kamar par KHushk ghaDa tasawwur karo
tumhein dur, sahra se pani lene jaana hai
wahan tumhein do aankhen milengi
un mein ye nazm hogi
tum is nazm ki aankhon se
bahte hue aansuon ko, apne badan mein
shamil na karna
udas ho jaogi
aur ye nazm
tumhein udas hote hue
nahin dekh sakti
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.