altamash miir mujh ko qatl karo
apnī qurbat ke shīrīñ ḳhanjar se
yā ki ik lamhe ko bhī Thahre bin
jild pe naqsh hote nashtar se
bose bose ko kāñch kāñch karo
narmī-e-lab ko aañch aañch karo
kāñch ke ār-pār sāñsoñ kī
gungunī giilī dhuup aane do
reza kar do qabā kī zanjīreñ
bhuul jaao hayā kī tadbīreñ
apnī betābiyoñ ke dariyā meñ
khīñch lo mujh ko Duub jaane do
mujh meñ utro ḳhumār-e-shab ho kar
mujh pe bikhro na tum tarab ho kar
mujh ko duniyā se be-ḳhabar kar do
mujh pe duniyā ko be-asar kar do
jism sho.ala bane so ban jaa.e
daaġh dil pe lage so lag jaa.e
mujh ko kyūñkar gurez honā hai
aise āzār-e-jān-parvar se
tum raho jaan merī paas mire
vo ye saarī navāzisheñ mujh par
aane vaalī sahar se qabl karo
altamash miir mujh ko qatl karo
altamash mir mujh ko qatl karo
apni qurbat ke shirin KHanjar se
ya ki ek lamhe ko bhi Thahre bin
jild pe naqsh hote nashtar se
bose bose ko kanch kanch karo
narmi-e-lab ko aanch aanch karo
kanch ke aar-par sanson ki
gunguni gili dhup aane do
reza kar do qaba ki zanjiren
bhul jao haya ki tadbiren
apni betabiyon ke dariya mein
khinch lo mujh ko Dub jaane do
mujh mein utro KHumar-e-shab ho kar
mujh pe bikhro na tum tarab ho kar
mujh ko duniya se be-KHabar kar do
mujh pe duniya ko be-asar kar do
jism shoala bane so ban jae
dagh dil pe lage so lag jae
mujh ko kyunkar gurez hona hai
aise aazar-e-jaan-parwar se
tum raho jaan meri pas mere
wo ye sari nawazishen mujh par
aane wali sahar se qabl karo
altamash mir mujh ko qatl karo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.