nazm
abhī kuchh din mujhe is shahr meñ āvāra rahnā hai
ki ab tak dil ko us bastī kī shāmeñ yaad aatī haiñ
jahāñ bele kī jhāḌī meñ kisī nāgin kī bāñbī thī
abhī tak dil ye kahtā hai ki us bastī meñ phir jaao
bharo dāman ko phūloñ se badan nāgin se Dasvāo
jahāñ ab huuñ vahāñ belā hai na nāgin kī bāñbī hai
isī kāran ye zālim dil mujhe uljhā.e rakhtā hai
isī kāran mujhe is shahr meñ āvāra rahnā hai
magar jis din ye rishta yaad kā TuuTā to phir us din
na dil hogā na ye ehsās hī ki dil bhī rakhte the
ki merī zaat meñ jo naag hai vo mujh ko Das legā
abhī kuchh din mujhe is shahr meñ āvāra rahnā hai
abhi kuchh din mujhe is shahr mein aawara rahna hai
ki ab tak dil ko us basti ki shamen yaad aati hain
jahan bele ki jhaDi mein kisi nagin ki banbi thi
abhi tak dil ye kahta hai ki us basti mein phir jao
bharo daman ko phulon se badan nagin se Daswao
jahan ab hun wahan bela hai na nagin ki banbi hai
isi karan ye zalim dil mujhe uljhae rakhta hai
isi karan mujhe is shahr mein aawara rahna hai
magar jis din ye rishta yaad ka TuTa to phir us din
na dil hoga na ye ehsas hi ki dil bhi rakhte the
ki meri zat mein jo nag hai wo mujh ko Das lega
abhi kuchh din mujhe is shahr mein aawara rahna hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.