nazm
donoñ jānib paanī dīvāreñ
sāmne dhartī kā vo TukḌā
jis kā vā'da us ne kiyā thā
ik dastāvez
apne vā'de kī us ne patthar kī taḳhtī par likh
dī thī
jab ham pahuñche is dhartī par
ik anjān zamīñ
anjān falak thā
log vahāñ jo baste the
ham se ūñche the
jism pe un ke khaal nahīñ thī
nāḳhun jaisī chiknī chamkīlī ik shai thī
vo bole
ham sab aadam haiñ
tum us qaum ke fard ho shāyad
jis kā zikr hamāre paiġhambar karte the
donon jaanib pani diwaren
samne dharti ka wo TukDa
jis ka wa'da us ne kiya tha
ek dastawez
apne wa'de ki us ne patthar ki taKHti par likh
di thi
jab hum pahunche is dharti par
ek anjaan zamin
anjaan falak tha
log wahan jo baste the
hum se unche the
jism pe un ke khaal nahin thi
naKHun jaisi chikni chamkili ek shai thi
wo bole
hum sab aadam hain
tum us qaum ke fard ho shayad
jis ka zikr hamare paighambar karte the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.