nazm
ek chhoTī sī name plate
jis par merā naam likhā thā
sāl-bhar se mere kamre meñ
maarī maarī phir rahī thī
Table se khiḌkī par
aur kabhī
khiḌkī se almārī par
dhuul se aTī
jagah badal rahī thī
us ik intizār meñ ki jab
do kīleñ aur ek hathauḌī yakjā hoñ
aur kal
bil-āḳhir maiñ ne
do kīloñ kī salīb par
apne naam ko Taañg diyā
ab ye kamra be-nām nahīñ hai
ek chhoTi si name plate
jis par mera nam likha tha
sal-bhar se mere kamre mein
mari mari phir rahi thi
Table se khiDki par
aur kabhi
khiDki se almari par
dhul se aTi
jagah badal rahi thi
us ek intizar mein ki jab
do kilen aur ek hathauDi yakja hon
aur kal
bil-aKHir main ne
do kilon ki salib par
apne nam ko Tang diya
ab ye kamra be-nam nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.