nazm
ek safed-o-shaffāf sī
dhulī chādar
be-shikan bin chhūī aur be-dāġh
mere sone kī chārpā.ī par
sub.h se shaam tak
bichhī rahtī hai
aur jab
raat ko maiñ sotā huuñ
us ko dhīre se ḳhud
haTā detā huuñ
aur us kī jagah purānī sī
ek chādar bichhā detā huuñ
sub.h ko phir vahī chādar
be-shikan bin chhūī aur be-dāġh
chārpā.ī kī zīnat hotī hai
ye bharam
dekhiye
banā rah jaa.e
ek safed-o-shaffaf si
dhuli chadar
be-shikan bin chhui aur be-dagh
mere sone ki chaarpai par
subh se sham tak
bichhi rahti hai
aur jab
raat ko main sota hun
us ko dhire se KHud
haTa deta hun
aur us ki jagah purani si
ek chadar bichha deta hun
subh ko phir wahi chadar
be-shikan bin chhui aur be-dagh
chaarpai ki zinat hoti hai
ye bharam
dekhiye
bana rah jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.