nazm ki khiDki suni hai
nazm koī doshīza hogī
hamsā.e ke ghar aa kar mehmān banī hai
raat ke khāne kī dāvat kā soch rahā huuñ
shāyad ye āvāz nahīñ hai
sargoshī ke letter box meñ
der se aane vaalā ḳhat hai
nazm koī gandum kā ḳhosha
jis ke rangoñ kā andāza
phal pakne par hotā hai
ujlat kā ḳhamyāza hogī
ham ne vaqt se pahle chal paḌne ko
apnā ḳhāsa maan ke ġhalatī kī
vo aurat hogī
jis meñ jism kī asr ke lamhe kī kaifiyat
ḳhvāhish par bhārī hotī haiñ
nazm pahāḌī nadī hogī
jis ke jazboñ kī labrezī
aur tezī kī ḳhushbū ko bhī
duur se dekhā jā saktā hai
aisī hogī
vaisī hogī
kah sakte haiñ
mafrūzoñ ke phuul kahīñ bhī khil sakte haiñ
lekin manzar-nāme kī nākāmī par
kyā kahte ho
Dhaltī shaam ke ḳhālī baazū
dekh ke aisā kyoñ lagtā hai
nazm kī khiḌkī suunī hai
nazm koi doshiza hogi
hamsae ke ghar aa kar mehman bani hai
raat ke khane ki dawat ka soch raha hun
shayad ye aawaz nahin hai
sargoshi ke letter box mein
der se aane wala KHat hai
nazm koi gandum ka KHosha
jis ke rangon ka andaza
phal pakne par hota hai
ujlat ka KHamyaza hogi
hum ne waqt se pahle chal paDne ko
apna KHasa man ke ghalati ki
wo aurat hogi
jis mein jism ki asr ke lamhe ki kaifiyat
KHwahish par bhaari hoti hain
nazm pahaDi nadi hogi
jis ke jazbon ki labrezi
aur tezi ki KHushbu ko bhi
dur se dekha ja sakta hai
aisi hogi
waisi hogi
kah sakte hain
mafruzon ke phul kahin bhi khil sakte hain
lekin manzar-name ki nakaami par
kya kahte ho
Dhalti sham ke KHali bazu
dekh ke aisa kyon lagta hai
nazm ki khiDki suni hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.