nazm
laao zarā pahan luuñ tumheñ
tanhā.ī utaar dī maiñ ne
bāhar corridor meñ paḌī sisak rahī hai
apne dhīme lahje meñ
vo saarī dāstāneñ sunātī
jinheñ sun kar maiñ dhīmī aañch par
pahroñ sulagtī thī
laao zarā pahan luuñ tumheñ
vo key-hole se jhāñk rahī hai
jaise ham mauqa paate hī
apne asal meñ jhāñkte haiñ
is se pahle ki vo
mujhe nañgā dekh paa.e
laao ek dūsre kī asl meñ
shāmil ho jaa.eñ
maiñ apnī saarī shabnam
tumhārī palkoñ pe girātī huuñ
tum merī sāñsoñ kī pagDanDī se
mere andar utar aao
maiñ Dhak jā.ūñgī
apnī asl kī amaañ pā.ūñgī
laao zarā pahan luuñ tumheñ
lao zara pahan lun tumhein
tanhai utar di main ne
bahar corridor mein paDi sisak rahi hai
apne dhime lahje mein
wo sari dastanen sunati
jinhen sun kar main dhimi aanch par
pahron sulagti thi
lao zara pahan lun tumhein
wo key-hole se jhank rahi hai
jaise hum mauqa pate hi
apne asal mein jhankte hain
is se pahle ki wo
mujhe nanga dekh pae
lao ek dusre ki asl mein
shamil ho jaen
main apni sari shabnam
tumhaari palkon pe giraati hun
tum meri sanson ki pagDanDi se
mere andar utar aao
main Dhak jaungi
apni asl ki aman paungi
lao zara pahan lun tumhein
- Book : Man Baani (Pg. 402)
- Author : Dr. Shabnam Ashai
- Publication : Maktaba istiara 248, Gaffar Apartment, Gaffar Manzil istiara Lane, Jamia Nagar, Okhla (2002)
- Edition : 2002
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.