nazm
mere ḳhvāboñ meñ to har roz hī aa jaatī ho
apne ḳhvāboñ meñ bhī kyā mujh ko kabhī dekhā hai
maiñ tumheñ yaad har ik roz kiyā kartā huuñ
kyā mire baare meñ tum ne bhī kabhī sochā hai
tum se mansūb rahā naam mirā muddat tak
jo zamāne ne kahā maan liyā kartā huuñ
tum batāo bhī to kyā aur na batāo bhī to kyā
jo bhī kuchh dil meñ hai vo jaan liyā kartā huuñ
kyā mirī fikr meñ ġhamgīn huī ho tum bhī
maiñ to har shaam hī lagtā hai ki mar jaatā huuñ
kyā mire dard kā ehsās huā hai tum ko
kyoñ maiñ har roz bahut der se ghar jaatā huuñ
merī sāñsoñ meñ basī hai tirī ḳhushbū aise
jaise gulshan koī phūloñ se mahak uThtā hai
tum matā'-e-dil-o-duniyā ho mirī jaañ kī qasam
jab tumheñ dekhtā huuñ dekh ke ye lagtā hai
ġham nahīñ hai mujhe tum merī nahīñ ho saktī
maiñ kabhī bhī nahīñ is baat pe rone vaalā
tum hamesha mire is dil meñ rahogī jānāñ
ab mire saath yahāñ kuchh nahīñ hone vaalā
mere KHwabon mein to har roz hi aa jati ho
apne KHwabon mein bhi kya mujh ko kabhi dekha hai
main tumhein yaad har ek roz kiya karta hun
kya mere bare mein tum ne bhi kabhi socha hai
tum se mansub raha nam mera muddat tak
jo zamane ne kaha man liya karta hun
tum batao bhi to kya aur na batao bhi to kya
jo bhi kuchh dil mein hai wo jaan liya karta hun
kya meri fikr mein ghamgin hui ho tum bhi
main to har sham hi lagta hai ki mar jata hun
kya mere dard ka ehsas hua hai tum ko
kyon main har roz bahut der se ghar jata hun
meri sanson mein basi hai teri KHushbu aise
jaise gulshan koi phulon se mahak uThta hai
tum mata'-e-dil-o-duniya ho meri jaan ki qasam
jab tumhein dekhta hun dekh ke ye lagta hai
gham nahin hai mujhe tum meri nahin ho sakti
main kabhi bhi nahin is baat pe rone wala
tum hamesha mere is dil mein rahogi jaanan
ab mere sath yahan kuchh nahin hone wala
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.