nazm
raat kaisī mehrbān hai
rotī āñkhoñ ke raaz
aur bhīge takiyoñ ke
saare bharam rakh letī hai
raat siyāh hai magar
safed āñkhoñ kā haath pakaḌ kar
rangīn ḳhvāboñ kā rāsta dikhātī hai
khurdure jism kī saarī shikneñ
apne nāzuk badan kī tahoñ meñ chhupā letī hai
kabhī apnī god meñ le kar
thapak thapak kar sulātī hai
kabhī kāñdhe se lagā.e
lorī sunātī hai
din bhar ke dukhoñ kī saarī girheñ
ek ek kar ke kholtī hai
boltī nahīñ par suntī hai
mīThī niiñd ke jhūle meñ sulā kar
bāloñ meñ haath phertī
sirhāne baiThī ūñghtī rahtī hai
kitnī pāgal hai nā
mujhe to raat bhī maañ lagtī hai
raat kaisi mehrban hai
roti aankhon ke raaz
aur bhige takiyon ke
sare bharam rakh leti hai
raat siyah hai magar
safed aankhon ka hath pakaD kar
rangin KHwabon ka rasta dikhati hai
khurdure jism ki sari shiknen
apne nazuk badan ki tahon mein chhupa leti hai
kabhi apni god mein le kar
thapak thapak kar sulati hai
kabhi kandhe se lagae
lori sunati hai
din bhar ke dukhon ki sari girhen
ek ek kar ke kholti hai
bolti nahin par sunti hai
miThi nind ke jhule mein sula kar
baalon mein hath pherti
sirhane baiThi unghti rahti hai
kitni pagal hai na
mujhe to raat bhi man lagti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.