Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nazm

MORE BYAzeem Khawaja

    samāñ badlā

    havā badlī

    siyāhī raat badlī

    fazā meñ tairtī aur chīḳhtī bū-e-lahū badlī

    jo gardish meñ haiñ taare

    kyā zarā bhī in rau badlī

    nahīñ badlī

    tamāzat din badlī

    udāsī shaam badlī

    jhulastī dhuup badlī na sulagtī dopahar badlī

    sabā tāzgī badlī

    na ḳhushbū sahar badlī

    duā badlī

    azaañ badlī

    ġharīboñ fuġhāñ badlī

    amīroñ anā badlī

    nahīñ badlī

    na uupar āsmāñ badlā

    na nīche ye zamīñ badlī

    na zālim hañsī badlī

    na mazlūmoñ bekas be-amāñ be-āsrā iltijā badlī

    agar badlā to ik hindsa

    nahīñ badlī to taqdīreñ

    nahīñ badle to apne ḳhvāb

    aur in ḳhvāboñ ta.abīreñ

    aur in se munsalik apne dukhoñ dāstāñ

    apne ġhamoñ dāstāñ

    bilkul nahīñ badlī

    to kyā badlā

    saman badla

    hawa badli

    siyahi raat ki badli

    faza mein tairti aur chiKHti bu-e-lahu badli

    jo gardish mein hain tare

    kya zara bhi in ki rau badli

    nahin badli

    tamazat din ki badli

    ya udasi sham ki badli

    jhulasti dhup badli na sulagti dopahar badli

    saba ki tazgi badli

    na KHushbu sahar ki badli

    dua badli

    azan badli

    gharibon ki fughan badli

    amiron ki ana badli

    nahin badli

    na upar aasman badla

    na niche ye zamin badli

    na zalim ki hansi badli

    na mazlumon ki bekas be-aman be-asra si iltija badli

    agar badla to ek hindsa

    nahin badli to taqdiren

    nahin badle to apne KHwab

    aur in KHwabon ki tabiren

    aur in se munsalik apne dukhon ki dastan

    apne ghamon ki dastan

    bilkul nahin badli

    to kya badla

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now