nazm
zindagī kī cigarette
tumhāre saath piine kī ḳhātir
maiñ nai apne sochne kī salāhiyat
tumhāre naam kar dī thī
aur vo tamām makhoTe
tumhāre kamre meñ sajā diye the
jinheñ tum nai umar bhar
shikār kiyā thā
maiñ apnī saarī ḳhushbueñ
ḳharch kar ke
tumhārā puurā dard ḳharīd rahī thī
lekin tum nai ā.ankhoñ par hī nahīñ
dimāġh par bhī paTTī bāñdh rakhī thī
saḌak hādse ke ba.ad
merā plastar chaḌhte samay
jo tum ne ek lamhe ko
apnī ā.ankhoñ kī paTTī khol dī thī
tumhārā sar jhuk gayā thā
mujhe ma.alūm thā maiñ tumheñ kho dūñgī
jo kho jaatā hai
us ke khone kā afsos gāñTh ban jaatā hai
maiñ agarche hil nahīñ saktī thī
sochne se mahrūm nahīñ thī
aur duniyā sochne se ibārat hai
merī āñkheñ suuj ga.ī thiiñ band nahīñ thiiñ
aur kānoñ meñ vo sab āvāzeñ aa rahī thiiñ
jab tum mere hāfize ke maflūj ho jaane kā elaan kar rahe the
maiñ dekh rahī thī
log tumhārī taraf mutavajjah hue the
lekin tumhāre dimāġh pe lagā.ī hui paTTī
sab ko nazar aa ga.ī thī
tum jaan lo ki duniyā sochne se ibārat hai
ab zindagī kī cigarette sirf maiñ piyūñgī
aur tum cigarette kī raakh kī tarah
merī uñgliyoñ se jhaḌte rahoge
zindagi ki cigarette
tumhaare sath pine ki KHatir
main nai apne sochne ki salahiyat
tumhaare nam kar di thi
aur wo tamam makhoTe
tumhaare kamre mein saja diye the
jinhen tum nai umar bhar
shikar kiya tha
main apni sari KHushbuen
KHarch kar ke
tumhaara pura dard KHarid rahi thi
lekin tum nai aaankhon par hi nahin
dimagh par bhi paTTi bandh rakhi thi
saDak hadse ke baad
mera plastar chaDhte samay
jo tum ne ek lamhe ko
apni aaankhon ki paTTi khol di thi
tumhaara sar jhuk gaya tha
mujhe malum tha main tumhein kho dungi
jo kho jata hai
us ke khone ka afsos ganTh ban jata hai
main agarche hil nahin sakti thi
sochne se mahrum nahin thi
aur duniya sochne se ibarat hai
meri aankhen suj gai thin band nahin thin
aur kanon mein wo sab aawazen aa rahi thin
jab tum mere hafize ke mafluj ho jaane ka elan kar rahe the
main dekh rahi thi
log tumhaari taraf mutawajjah hue the
lekin tumhaare dimagh pe lagai hui paTTi
sab ko nazar aa gai thi
tum jaan lo ki duniya sochne se ibarat hai
ab zindagi ki cigarette sirf main piyungi
aur tum cigarette ki rakh ki tarah
meri ungliyon se jhaDte rahoge
- Book : Man Baani (Pg. 164)
- Author : Dr. Shabnam Ashai
- Publication : Maktaba istiara 248, Gaffar Apartment, Gaffar Manzil istiara Lane, Jamia Nagar, Okhla (2002)
- Edition : 2002
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.