nazm
Dher saarī
ret ke nīche dabī
ek ruuh
der ga.e
ret haTāne kī koshish meñ
apne nāḳhun toḌ baiThī
yuuñ to
kuchh toḌnā bhī achchhā lagtā hai
jo TūTne se bach saktā hai
qatl ho jaatā hai
vaise
qatl honā hī jiine kā sach hai
aur
is lamhe kā sach yahī hai
ki sadiyoñ ba.ad aisā vāqi.a huā thā
ki ret ke zarre
us kī āñkhoñ meñ chubh jaane se rah ga.e
dekhā to
sāmne bhiiḌ thī
shor-o-ġhul thā
aur ek khokhlī āvāz
jo
duur kahīñ jā ke
zindagī kā santūr
chheḌ rahī thī
mujhe lagā thā
us āvāz pe tumhārī āvāz kā saaya thā
Dher sari
ret ke niche dabi
ek ruh
der gae
ret haTane ki koshish mein
apne naKHun toD baiThi
yun to
kuchh toDna bhi achchha lagta hai
jo TuTne se bach sakta hai
qatl ho jata hai
waise
qatl hona hi jine ka sach hai
aur
is lamhe ka sach yahi hai
ki sadiyon baad aisa waqia hua tha
ki ret ke zarre
us ki aankhon mein chubh jaane se rah gae
dekha to
samne bhiD thi
shor-o-ghul tha
aur ek khokhli aawaz
jo
dur kahin ja ke
zindagi ka santur
chheD rahi thi
mujhe laga tha
us aawaz pe tumhaari aawaz ka saya tha
- Book : Akeli (Pg. 78)
- Author : Shabnam Ashai
- Publication : Zehn-e-Jadid, Post Box 7042, New Delhi-110002 (1993)
- Edition : 1993
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.