nazm
sach se
ghar nahīñ bante
merī lakḌī sach thī
ghar nahīñ kashtī banī
sach kī kashtī ko khetī huī
merī ruuh
na jaane kin kin pāniyoñ se guzar rahī hai
paanī kī shakl muqarrar nahīñ
marne kā vaqt muqarrar hotā hai
kashtī ko merī ruuh se ziyāda
paanī muāfiq hai
dev-dār kī umr paanī meñ baḌh jaatī hai
aur duniyā meñ
Dhoñg na rachāne vaale kī umr
ghaT jaatī hai
maut ke sāhil pe utarne ke liye
maiñ sach kī kashtī meñ Dol rahī huuñ
sach se
ghar nahin bante
meri lakDi sach thi
ghar nahin kashti bani
sach ki kashti ko kheti hui
meri ruh
na jaane kin kin paniyon se guzar rahi hai
pani ki shakl muqarrar nahin
marne ka waqt muqarrar hota hai
kashti ko meri ruh se ziyaada
pani muafiq hai
dew-dar ki umr pani mein baDh jati hai
aur duniya mein
Dhong na rachane wale ki umr
ghaT jati hai
maut ke sahil pe utarne ke liye
main sach ki kashti mein Dol rahi hun
- Book : Man Baani (Pg. 134)
- Author : Dr. Shabnam Ashai
- Publication : Maktaba istiara 248, Gaffar Apartment, Gaffar Manzil istiara Lane, Jamia Nagar, Okhla (2002)
- Edition : 2002
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.