nazm
bahut dinoñ se
vo merī tauhīn ke bahāne
DhūñD rahā thā
be-lihāz be-muravvat
dūsroñ kī zillat
us ke jiine kā javāz
har ta.alluq ke tasme khol kar
pheñk denā
us kā mizāj
us kī āvāz kī yaḳh havā se
jaane kaun kaun zaḳhmī hai
merī ḳhāmoshī
us kī āvāz ko jitnī baar chhūtī
us kā julāpā aur baḌh jaatā
phir na kisī safar kī dhuup
na thakan masāfatoñ kī kaam aatī
kal vo kuchh ziyāda hī haañp rahā thā
us kī yaḳh āvāz ke nashtar
merī ḳhāmoshī par lage
vo TuuT ga.ī
daf.atan
merī uñgliyāñ
billī ke panjoñ jaisī ho ga.iiñ
yaad nahīñ
maiñ us par jhapTī yā ḳhud par
abhī maiñ ne ā.īna nahīñ dekhā
bahut dinon se
wo meri tauhin ke bahane
DhunD raha tha
be-lihaz be-murawwat
dusron ki zillat
us ke jine ka jawaz
har talluq ke tasme khol kar
phenk dena
us ka mizaj
us ki aawaz ki yaKH hawa se
jaane kaun kaun zaKHmi hai
meri KHamoshi
us ki aawaz ko jitni bar chhuti
us ka julapa aur baDh jata
phir na kisi safar ki dhup
na thakan masafaton ki kaam aati
kal wo kuchh ziyaada hi hanp raha tha
us ki yaKH aawaz ke nashtar
meri KHamoshi par lage
wo TuT gai
dafatan
meri ungliyan
billi ke panjon jaisi ho gain
yaad nahin
main us par jhapTi ya KHud par
abhi main ne aaina nahin dekha
- Book : Man Baani (Pg. 72)
- Author : Dr. Shabnam Ashai
- Publication : Maktaba istiara 248, Gaffar Apartment, Gaffar Manzil istiara Lane, Jamia Nagar, Okhla (2002)
- Edition : 2002
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.