nazm
agar tumhāre tiin hazār peḌoñ meñ se
ek maiñ bhī hotī to
ek saal meñ
chhe spray ek khaad
aur tumhārī hazāroñ chāhat bharī nazreñ
mujhe nasīb hotī aur tab
dil sogvār na hotā
merī har Tahnī
tum apne hāthoñ tarāshte
maiñ sañvar jaatī
havā mujh meñ saañs bhartī
dhuup aur bādal
mere dil kī surḳh sachchā.iyoñ meñ jhilmil karte
aur na jaane kitne surḳh phūloñ se
maiñ farozāñ rahtī
merī zaat kī kyārī se
tumhārī zaat ke ahāte tak
tamāzat aur ḳhushbū
shādāb phuul aur shādāb ḳhaar hote
magar maiñ
tumhāre ahāte se bāhar kā peḌ thī
ḳhāna-ba-doshoñ kī bastī kā
vo jañgalī peḌ jis par
āvāra parinde chahchahāte haiñ
aur jis kī har Tahnī
apne andar
ek ḳhalā sameTe
āsmān kī vus.atoñ meñ
bhaTak rahī hai
agar tumhaare tin hazar peDon mein se
ek main bhi hoti to
ek sal mein
chhe spray ek khad
aur tumhaari hazaron chahat bhari nazren
mujhe nasib hoti aur tab
dil sogwar na hota
meri har Tahni
tum apne hathon tarashte
main sanwar jati
hawa mujh mein sans bharti
dhup aur baadal
mere dil ki surKH sachchaiyon mein jhilmil karte
aur na jaane kitne surKH phulon se
main farozan rahti
meri zat ki kyari se
tumhaari zat ke ahate tak
tamazat aur KHushbu
shadab phul aur shadab KHar hote
magar main
tumhaare ahate se bahar ka peD thi
KHana-ba-doshon ki basti ka
wo jangali peD jis par
aawara parinde chahchahate hain
aur jis ki har Tahni
apne andar
ek KHala sameTe
aasman ki wusaton mein
bhaTak rahi hai
- Book : Akeli (Pg. 7)
- Author : Shabnam Ashai
- Publication : Zehn-e-Jadid, Post Box 7042, New Delhi-110002 (1993)
- Edition : 1993
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.