nazm
tumhārī razā ko log
merī ḳhatā kahte haiñ
mere hāthoñ se vo poshāk
chhīn lī ga.ī
jo maiñ pahanñe vaalī thī
aur pahnī huī poshāk
maiñ utaar chukī thī
mere saare aane vaale mausam
mansūḳh kar diye ga.e the
maiñ ne koī ehtijāj nahīñ kiyā
apnā sar-e-taslīm ḳham kar diyā thā
mujhe itnī iizā dī ga.ī
ki armānoñ kā resham kātnā
ab merī bardāsht se bāhar hai
aur phir mausam mansūḳh na hote
phuul resham baTorte
merī uryānī Dhak jaatī
tumhārī tābedārī meñ
maiñ ne apnī muTThī kabhī khol kar nahīñ dekhī
kaun apne ḳhvāb kā
ek TukḌā kaaT kar
merī uryānī Dhāñp degā
laao maiñ apne haath kī lakīreñ miTā duuñ
tumhaari raza ko log
meri KHata kahte hain
mere hathon se wo poshak
chhin li gai
jo main pahanne wali thi
aur pahni hui poshak
main utar chuki thi
mere sare aane wale mausam
mansuKH kar diye gae the
main ne koi ehtijaj nahin kiya
apna sar-e-taslim KHam kar diya tha
mujhe itni iza di gai
ki armanon ka resham katna
ab meri bardasht se bahar hai
aur phir mausam mansuKH na hote
phul resham baTorte
meri uryani Dhak jati
tumhaari tabedari mein
main ne apni muTThi kabhi khol kar nahin dekhi
kaun apne KHwab ka
ek TukDa kaT kar
meri uryani Dhanp dega
lao main apne hath ki lakiren miTa dun
- Book : Man Baani (Pg. 158)
- Author : Dr. Shabnam Ashai
- Publication : Maktaba istiara 248, Gaffar Apartment, Gaffar Manzil istiara Lane, Jamia Nagar, Okhla (2002)
- Edition : 2002
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.