nazm
ufuq hai naam duurī kā
ufuq ke us taraf kuchh bhī nahīñ hai log kahte haiñ
magar ye log vo haiñ jo mire ḳhvāboñ kī bhī takzīb karte haiñ
agarche ḳhvāb hī zinda haqīqat haiñ
bahut muddat huī bichhḌe hue tum se
magar har raat ab bhī ḳhvāb meñ aa kar
vafā ke 'ahd kī tajdīd kar jaatī ho tum
chupke se kahtī ho
ufuq ke us taraf kuchh bhī nahīñ
maiñ bhī nahīñ tum bhī nahīñ lekin
ufuq ke us taraf jo kuchh hai vo zinda haqīqat hai
ufuq ke paar hī apnā milan hogā
ufuq hai nam duri ka
ufuq ke us taraf kuchh bhi nahin hai log kahte hain
magar ye log wo hain jo mere KHwabon ki bhi takzib karte hain
agarche KHwab hi zinda haqiqat hain
bahut muddat hui bichhDe hue tum se
magar har raat ab bhi KHwab mein aa kar
wafa ke 'ahd ki tajdid kar jati ho tum
chupke se kahti ho
ufuq ke us taraf kuchh bhi nahin
main bhi nahin tum bhi nahin lekin
ufuq ke us taraf jo kuchh hai wo zinda haqiqat hai
ufuq ke par hi apna milan hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.