nazm
tum ne kitāb khol ke dekhī nahīñ abhī
is meñ tumhāre baare meñ ik aur nazm hai
is nazm meñ safed gulāboñ kā zikr hai
āñkhoñ meñ qaid reshmī ḳhvāboñ kā zikr hai
ai dil har ek baar ye ḳhvāboñ kī baat kyuuñ
takiye ke paas band kitāboñ kī baat kyuuñ
har raat āsmāñ pe sitāroñ se baat kar
dariyā ko to na chheḌ kināroñ se baat kar
kartā hai kaun roz sitāroñ se guftugū
hogī nahīñ ḳhizāñ meñ bahāroñ se guftugū
kuchh der us kī yaad meñ ḳhāmosh rah ke dekh
jis ne kitāb khol ke dekhī nahīñ abhī
tum ne kitab khol ke dekhi nahin abhi
is mein tumhaare bare mein ek aur nazm hai
is nazm mein safed gulabon ka zikr hai
aankhon mein qaid reshmi KHwabon ka zikr hai
ai dil har ek bar ye KHwabon ki baat kyun
takiye ke pas band kitabon ki baat kyun
har raat aasman pe sitaron se baat kar
dariya ko to na chheD kinaron se baat kar
karta hai kaun roz sitaron se guftugu
hogi nahin KHizan mein bahaaron se guftugu
kuchh der us ki yaad mein KHamosh rah ke dekh
jis ne kitab khol ke dekhi nahin abhi
- Book : saarii nazmen (Pg. 786)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.