nazm
maiñ ne ik ḳhvāb ik lifāfe meñ
tumheñ sab se chhupā ke bhejā thā
us ke ham-rāh ek kāġhaz par
kisī bādal kā surma.ī TukḌā
surḳh phūloñ ke saath rakkhā thā
vo tumheñ kyuuñ nazar nahīñ aayā
apne kamre kī band khiḌkī se
tum sitāroñ ko dekh letī ho
tez bārish meñ ik samundar ke
un kināroñ ko dekh letī ho
jo kisī ko nazar nahīñ aate
jo kabhī apne ghar nahīñ jaate
un parindoñ ko yaad kartī ho
vo bhī ik ḳhvāb dekh sakte haiñ
ye tumheñ kyuuñ nahīñ batāyā gayā
main ne ek KHwab ek lifafe mein
tumhein sab se chhupa ke bheja tha
us ke ham-rah ek kaghaz par
kisi baadal ka surmai TukDa
surKH phulon ke sath rakkha tha
wo tumhein kyun nazar nahin aaya
apne kamre ki band khiDki se
tum sitaron ko dekh leti ho
tez barish mein ek samundar ke
un kinaron ko dekh leti ho
jo kisi ko nazar nahin aate
jo kabhi apne ghar nahin jate
un parindon ko yaad karti ho
wo bhi ek KHwab dekh sakte hain
ye tumhein kyun nahin bataya gaya
- Book : saarii nazmen (Pg. 810)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.