nazmon ke liye dua-e-KHair
merī tamām kā.enāt
ghaas ke varaq kī tarah sūkhne lage
to tum is tanhā raste pe āoge?
taḳhlīq ke chup mālik! āqā! ḳhudā!
tum ki kho.e ho.uuñ ke dard muddatoñ sambhāle rahe ho
us raste pe ki jahāñ
mujhe kabhī yaqīñ na ho sakā ki paanī māñgūñ to kaise
roTī yā āfiyat yā mahz pahchān kī bhiik māñgūñ to kaise
tum āoge?
jale hue jism ke is raste pe?
maut ke dūsre sāhil pe
dhueñ kī tarah paash paash būḌhī haDDiyoñ kī
is sar-zamīn pe?
yahāñ be-nutq lafz ek dūsre kā muñh takte haiñ
aur har duā ne lafzoñ se muñh moḌ liyā hai
meri tamam kaenat
ghas ke waraq ki tarah sukhne lage
to tum is tanha raste pe aaoge?
taKHliq ke chup malik! aaqa! KHuda!
tum ki khoe houn ke dard muddaton sambhaale rahe ho
us raste pe ki jahan
mujhe kabhi yaqin na ho saka ki pani mangun to kaise
roTi ya aafiyat ya mahz pahchan ki bhik mangun to kaise
tum aaoge?
jale hue jism ke is raste pe?
maut ke dusre sahil pe
dhuen ki tarah pash pash buDhi haDDiyon ki
is sar-zamin pe?
yahan be-nutq lafz ek dusre ka munh takte hain
aur har dua ne lafzon se munh moD liya hai
- Book : saugaat-2-3 (Pg. 115)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.