nelson mandela
ye barr-e-āzam kī saarī balā.eñ
sunā hai ki ab muntashir ho rahī haiñ
falak-bos tahzīb ke cactus jhoñpaḌoñ kī rivāyāt ko Das rahe haiñ
magar
kam nahīñ ye ki apnī zamīñ aur apnī fazā meñ
siyah paikaroñ kī do-dhārī anā aur aahan irādoñ ne
apne liye ab na.e tevaroñ ke ujāle tarāshe
añdherī zamīnoñ se mere nikāle
ḳhat-e-ustuvā ke ghane jañgaloñ kī amal-dāriyoñ meñ haiñ dīpak jalā.e
qabīloñ kī har bāhamī jañg ko shāḳh-e-zaitūn ke zamzame haiñ sunā.e
dahakte hue reg-zāroñ ke nīche
siyah zar ke chashmoñ ko mahmez dī hai
ye tahrīk ye inqalāb saare
nelson madela
tumhārī ragoñ meñ nayā ḳhuuñ shab-o-roz pahuñchā rahe haiñ
tumhārī hathelī ko sūraj meñ tabdīl karne lage haiñ
tumhārī nazar meñ bhare manzaroñ kī dhanak bo rahe haiñ
salāḳhoñ ke pīchhe akele nahīñ tum
siyah barr-e-āzam tumhārī jilau meñ
nahīñ
saarī duniyā tumhārī jilau meñ
ye barr-e-azam ki sari balaen
suna hai ki ab muntashir ho rahi hain
falak-bos tahzib ke cactus jhonpaDon ki riwayat ko Das rahe hain
magar
kam nahin ye ki apni zamin aur apni faza mein
siyah paikaron ki do-dhaari ana aur aahan iradon ne
apne liye ab nae tewaron ke ujale tarashe
andheri zaminon se mere nikale
KHat-e-ustuwa ke ghane jangalon ki amal-dariyon mein hain dipak jalae
qabilon ki har bahami jang ko shaKH-e-zaitun ke zamzame hain sunae
dahakte hue reg-zaron ke niche
siyah zar ke chashmon ko mahmez di hai
ye tahrik ye inqalab sare
nelson madela
tumhaari ragon mein naya KHun shab-o-roz pahuncha rahe hain
tumhaari hatheli ko suraj mein tabdil karne lage hain
tumhaari nazar mein bhare manzaron ki dhanak bo rahe hain
salaKHon ke pichhe akele nahin tum
siyah barr-e-azam tumhaari jilau mein
nahin
sari duniya tumhaari jilau mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.