nind jangal
nīñd-pālkī utrī raat duur jangal meñ
ḳhvāb ḳhvāb manzar thā dhīre dhīre bahtī thī
symphony havāoñ kī raat chāñd bādal meñ
kaale pairahan pahne bā-vaqār peḌoñ ne violin sañbhāle the
mast ho ke jab patte tāliyāñ bajāte the
soī jaagī beloñ par phuul kasmasāte the
jugnūoñ kī jhilmil se rāj-hans sote se jaag jaag uThe the
āhaTeñ parindoñ kī apne shab-baseroñ meñ pā.eleñ bajātī thiiñ
chāñdnī kī bāñhoñ meñ jhiil raqs kartī thī
dhīmī dhīmī sī ḳhushbū saath saath chaltī thī
sab ġhazāl jangal ke be-ḳhudī ke aalam meñ
symphony kī lahroñ par ballet raqs karte the
hirniyoñ kī āñkhoñ meñ mushk sī mahaktī thī
sub.h band kamre meñ shahr kī kasāfat se muzmahil sā sūraj
jab ek aur na.e din kī dhuul le ke aaya thā
T v vaale kamre meñ sub.h kā ḳhabar-nāma ittilā.a detā thā
ek aur jangal ko kaaT kar nikāleñge rāsta taraqqī kā
nind-palki utri raat dur jangal mein
KHwab KHwab manzar tha dhire dhire bahti thi
symphony hawaon ki raat chand baadal mein
kale pairahan pahne ba-waqar peDon ne wiolin sanbhaale the
mast ho ke jab patte taliyan bajate the
soi jagi belon par phul kasmasate the
jugnuon ki jhilmil se raj-hans sote se jag jag uThe the
aahaTen parindon ki apne shab-baseron mein paelen bajati thin
chandni ki banhon mein jhil raqs karti thi
dhimi dhimi si KHushbu sath sath chalti thi
sab ghazal jangal ke be-KHudi ke aalam mein
symphony ki lahron par ballet raqs karte the
hirniyon ki aankhon mein mushk si mahakti thi
subh band kamre mein shahr ki kasafat se muzmahil sa suraj
jab ek aur nae din ki dhul le ke aaya tha
T w wale kamre mein subh ka KHabar-nama ittilaa deta tha
ek aur jangal ko kaT kar nikalenge rasta taraqqi ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.