nind ka pher
merī āñkhoñ ne
na.e na.e ḳhvāboñ ko to dāvat de dī hai
so apne hāthoñ ko phir se jumbish dūñgā
jin par aa kar TuuT chuke haiñ
nā jaane kitne hī hubāb
niiñd ke pher ne kyā kar Daalā
jāgtī āñkhoñ se maiñ ab ye soch rahā huuñ
kyā hogā jab palkoñ par mehmān ā.eñge
mere paas sivā.e
vahī purāne ḳhvāboñ kī rūkhī sūkhī ta.abīroñ ke kyā rakkhā hai
meri aankhon ne
nae nae KHwabon ko to dawat de di hai
so apne hathon ko phir se jumbish dunga
jin par aa kar TuT chuke hain
na jaane kitne hi hubab
nind ke pher ne kya kar Dala
jagti aankhon se main ab ye soch raha hun
kya hoga jab palkon par mehman aaenge
mere pas siwae
wahi purane KHwabon ki rukhi sukhi tabiron ke kya rakkha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.