nind se KHwab tak
rāste gavāh ho ga.e haiñ
tere palaT kar dekhne kā andāz
havā ke tez jhoñke se lapak jaane vaalī shāḳh se mushābah hai
ek khanaktī huī muskān rah-rah kar nigāhoñ meñ gūñjtī hai
ek sitāra ḳhalāoñ se zamīn par aa girtā hai
siyāh raat yakāyak nuur se mā'mūr shabistāñ kā havāla ban jaatī hai
lihāf ke haT jaane se
mausam kī ḳhunkī ragoñ meñ garm lahū kī dhāroñ ko
munjamid karne lagī hai
aur saare manzar dhuñdlā ga.e haiñ
aañkh meñ kaḌvāhaToñ kā zahr utarne lagā hai
ye ḳhvāb apne reshmī libādoñ meñ
kaise ḳhārzār ban ke laayā hai
niiñd mushkil se aatī hai aa.ī thī lekin
kisī ḳhvāb kī āhaToñ se chauñk kar
kamre ke darvāze par saham sī ga.ī hai
aur maiñ aañkh khole hue
ḳhālī kamre kī chhat tak rahā huuñ
raste gawah ho gae hain
tere palaT kar dekhne ka andaz
hawa ke tez jhonke se lapak jaane wali shaKH se mushabah hai
ek khanakti hui muskan rah-rah kar nigahon mein gunjti hai
ek sitara KHalaon se zamin par aa girta hai
siyah raat yakayak nur se ma'mur shabistan ka hawala ban jati hai
lihaf ke haT jaane se
mausam ki KHunki ragon mein garm lahu ki dhaaron ko
munjamid karne lagi hai
aur sare manzar dhundla gae hain
aankh mein kaDwahaTon ka zahr utarne laga hai
ye KHwab apne reshmi libaadon mein
kaise KHarzar ban ke laya hai
nind mushkil se aati hai aai thi lekin
kisi KHwab ki aahaTon se chaunk kar
kamre ke darwaze par saham si gai hai
aur main aankh khole hue
KHali kamre ki chhat tak raha hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.