nirbhaya ki maut par
kabhī ḳhirad kī khulī dhuup meñ chalā aayā
kabhī maiñ ishq ke saa.e meñ jā ke baiTh gayā
kabhī kitāb khañ kabhī sitāre gine
haram meñ dair meñ girje meñ har taraf DhūñDā
tujhe sadā.eñ lagā.īñ tujhe talāsh kiyā
magar ai ruuh kahīñ tū nazar nahīñ aa.ī
maiñ thak ke haar ke lauTā to kis tarah lauTā
ki apnī jism kī sarhad pe aa gayā huuñ maiñ
yahāñ se āḳhirī āvāz de rahā huuñ tujhe
yahāñ ke ba.ad faqat jism kī hukūmat hai
yahāñ ke ba.ad faqat jism kī hukūmat hai
kabhi KHirad ki khuli dhup mein chala aaya
kabhi main ishq ke sae mein ja ke baiTh gaya
kabhi kitab khan kabhi sitare gine
haram mein dair mein girje mein har taraf DhunDa
tujhe sadaen lagain tujhe talash kiya
magar ai ruh kahin tu nazar nahin aai
main thak ke haar ke lauTa to kis tarah lauTa
ki apni jism ki sarhad pe aa gaya hun main
yahan se aaKHiri aawaz de raha hun tujhe
yahan ke baad faqat jism ki hukumat hai
yahan ke baad faqat jism ki hukumat hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.