nishan aur bhi hain
mohabbat ke rāz-e-nihāñ aur bhī haiñ
fasāne pas-e-dāstāñ aur bhī haiñ
tujhe dard-e-dil meñ chhupā.ūñ to kaise
mire haal ke tarjumāñ aur bhī haiñ
tirī bazm se to hai ḳhalvat hī behtar
yahāñ maiñ huuñ tū hai vahāñ aur bhī haiñ
kahāñ hai hadeñ ālam-e-rang-o-bū kī
yahī ik nahīñ gulsitāñ aur bhī haiñ
zarā kah to dete bulāne se pahle
ki is bazm meñ mehmāñ aur bhī haiñ
tū maqsūd par rāh-rau ruk na jaanā
ki manzil se aage nishāñ aur bhī haiñ
idhar bhī nazar tarkash-o-tīr vaale
tire bismil-e-nīm-jāñ aur bhī haiñ
jahāñ kho gayā hosh un manziloñ meñ
junūñ ke abhī kārvāñ aur bhī haiñ
salāmat jabīñ shauq-e-sajda salāmat
haram ke sivā āstāñ aur bhī haiñ
ye suniye salāsil kī jhankār suniye
junūñ meñ mire ham-zabāñ aur bhī haiñ
mubārak tujhe barq-e-ātish-mizājī
mirā dam hai to āshiyāñ aur bhī haiñ
mohabbat ke raaz-e-nihan aur bhi hain
fasane pas-e-dastan aur bhi hain
tujhe dard-e-dil mein chhupaun to kaise
mere haal ke tarjuman aur bhi hain
teri bazm se to hai KHalwat hi behtar
yahan main hun tu hai wahan aur bhi hain
kahan hai haden aalam-e-rang-o-bu ki
yahi ek nahin gulsitan aur bhi hain
zara kah to dete bulane se pahle
ki is bazm mein mehman aur bhi hain
tu maqsud par rah-rau ruk na jaana
ki manzil se aage nishan aur bhi hain
idhar bhi nazar tarkash-o-tir wale
tere bismil-e-nim-jaan aur bhi hain
jahan kho gaya hosh un manzilon mein
junun ke abhi karwan aur bhi hain
salamat jabin shauq-e-sajda salamat
haram ke siwa aastan aur bhi hain
ye suniye salasil ki jhankar suniye
junun mein mere ham-zaban aur bhi hain
mubarak tujhe barq-e-atish-mizaji
mera dam hai to aashiyan aur bhi hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.