nizam-e-shamsi
ghūmnā har ek kī pahlī pasand
is liye Daalā sitāroñ ye kamand
ham haiñ bachche kyā hamārā pūchhnā
kis qadar ham chāhte haiñ ghūmnā
is jagah jo koī rahtā hai paḌā
us ko kahiye be-khaTak pāgal baḌā
ye zamīñ ye chāñd ye sūraj sabhī
ghūmnā hai in kī aslī zindagī
roz puurā ek chakkar ye zamīñ
kar liyā kartī hai kar liije yaqīñ
is kī gardish meñ chhupā hai rāt-o-din
is ko haftoñ aur mahīnoñ meñ to gin
aur sitāre bhī haiñ saare ghūmte
vo ḳhushī meñ chal rahe haiñ jhūmte
haiñ kavākib ke bhī kuchh taabe nujūm
kah rahe haiñ aisā as.hāb-e-ulūm
vo bhī gardish meñ rahā karte haiñ mast
in ko kah sakte haiñ ham gardish-parast
ye atārid zohra ye mirrīḳh bhī
ye zuhal uranus aur ye mushtarī
chaar pushtoñ se nahīñ sayyāhī meñ
umr guzrī hai isī tairākī meñ
aur hazāroñ haiñ abhī sayyārche
ghūmte haiñ jo ḳhudā ke hukm se
hai anokhā sab kā sab shamsī nizām
sochiye kitnā hai ūñchā rab kā naam
ye nizām-e-shamsī ruk jaa.e agar
kaam se ho jaa.e thoḌā be-ḳhabar
phir ye duniyā kā jo chaltā hai nizām
dekh lenā sab bigaḌ jā.egā kaam
is liye ai bachcho tum bhī kaam sab
kar ke puurā karnā phir ārām tab
ghumna har ek ki pahli pasand
is liye Dala sitaron ye kamand
hum hain bachche kya hamara puchhna
kis qadar hum chahte hain ghumna
is jagah jo koi rahta hai paDa
us ko kahiye be-khaTak pagal baDa
ye zamin ye chand ye suraj sabhi
ghumna hai in ki asli zindagi
roz pura ek chakkar ye zamin
kar liya karti hai kar lije yaqin
is ki gardish mein chhupa hai raat-o-din
is ko hafton aur mahinon mein to gin
aur sitare bhi hain sare ghumte
wo KHushi mein chal rahe hain jhumte
hain kawakib ke bhi kuchh tabe nujum
kah rahe hain aisa ashab-e-ulum
wo bhi gardish mein raha karte hain mast
in ko kah sakte hain hum gardish-parast
ye atarid zohra ye mirriKH bhi
ye zuhal uranus aur ye mushtari
chaar pushton se nahin sayyahi mein
umr guzri hai isi tairaki mein
aur hazaron hain abhi sayyarche
ghumte hain jo KHuda ke hukm se
hai anokha sab ka sab shamsi nizam
sochiye kitna hai uncha rab ka nam
ye nizam-e-shamsi ruk jae agar
kaam se ho jae thoDa be-KHabar
phir ye duniya ka jo chalta hai nizam
dekh lena sab bigaD jaega kaam
is liye ai bachcho tum bhi kaam sab
kar ke pura karna phir aaram tab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.