nizam-e-zist
nizām-e-zīst kisī taal kā nahīñ paanī
jo sang-basta sā Thahrā huā muqayyad hai
har aañkh dekh sake jis kī itnī bas had hai
kare na kuchh bhī jo paidā diloñ meñ hairānī
nizām-e-zīst kisī taal kā nahīñ paanī
nizām-e-zīst hai lekin vo be-karāñ paanī
pahāḌiyoñ se jo niklā ho ban ke mastāna
kisī kī ārzū-e-vasl kā ho dīvāna
yahāñ se duur bahut duur kohsāroñ meñ
darāz rāhoñ meñ dushvār rahguzāroñ meñ
vahīñ jahāñ ye sileñ barf kī pighaltī haiñ
jahāñ ubalte haiñ chashme havā.eñ chaltī haiñ
vahīñ se to ye nadī naale bahte aate haiñ
jo pattharoñ ko chaTānoñ ko chiir jaate haiñ
chaTTāneñ kaaT ke jaate haiñ ye jidhar jaa.eñ
nikal ke koh se maidāñ se ye guzar jaa.eñ
ye ham-kanār hue aur baḌh gayā paanī
har ek samt ko phir kheltā chalā paanī
ye jangaloñ meñ guzartā to ghāTiyoñ meñ kabhī
ye phailtā kabhī maidāñ meñ vādiyoñ meñ kabhī
huī hai jis se bashar kī nazar ko hairānī
nizām-e-zīst hai goyā vo be-karāñ paanī
nizam-e-zist kisi tal ka nahin pani
jo sang-basta sa Thahra hua muqayyad hai
har aankh dekh sake jis ki itni bas had hai
kare na kuchh bhi jo paida dilon mein hairani
nizam-e-zist kisi tal ka nahin pani
nizam-e-zist hai lekin wo be-karan pani
pahaDiyon se jo nikla ho ban ke mastana
kisi ki aarzu-e-wasl ka ho diwana
yahan se dur bahut dur kohsaron mein
daraaz rahon mein dushwar rahguzaron mein
wahin jahan ye silen barf ki pighalti hain
jahan ubalte hain chashme hawaen chalti hain
wahin se to ye nadi nale bahte aate hain
jo pattharon ko chaTanon ko chir jate hain
chaTTanen kaT ke jate hain ye jidhar jaen
nikal ke koh se maidan se ye guzar jaen
ye ham-kanar hue aur baDh gaya pani
har ek samt ko phir khelta chala pani
ye jangalon mein guzarta to ghaTiyon mein kabhi
ye phailta kabhi maidan mein wadiyon mein kabhi
hui hai jis se bashar ki nazar ko hairani
nizam-e-zist hai goya wo be-karan pani
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.