nostalgia
vaqt kabhī Thahartā nahīñ
samundar kī lahroñ kī tarah
mutavātir chaltā rahtā hai
lekin
tārīk daldal meñ phañse hue lamhe
in sā.atoñ kā irti.āsh
chand sāniye ke sargam ke saa.e
tamām umar ruuh meñ paivast ho kar
insān kā ta.āqub karte rahte haiñ
rahm-e-māther kī shiryāneñ jaise
bahreñ maujoñ ke muhīb saa.e kī tarah
makīn-e-rahm ke nanhe vajūd ko
DhūñDhtī haiñ baar baar
muḌ muḌ ke pīchhe dekhtī haiñ ashk-bār
magar
guzrā huā lamha bād-e-nasīm kā ik jhoñkā
aatā nahīñ dobāra
kabhī Thahartā nahīñ hai āb-e-ravāñ
Thahartī haiñ to sirf yaḳh-basta yādeñ aur
chand sāniye ke liye
tārīk daldal se musalsal
barāmad hone vaalā
saat suroñ kā sargam
waqt kabhi Thaharta nahin
samundar ki lahron ki tarah
mutawatir chalta rahta hai
lekin
tarik daldal mein phanse hue lamhe
in saaton ka irtiash
chand saniye ke sargam ke sae
tamam umar ruh mein paiwast ho kar
insan ka taaqub karte rahte hain
rahm-e-mather ki shiryanen jaise
bahren maujon ke muhib sae ki tarah
makin-e-rahm ke nanhe wajud ko
DhunDhti hain bar bar
muD muD ke pichhe dekhti hain ashk-bar
magar
guzra hua lamha baad-e-nasim ka ek jhonka
aata nahin dobara
kabhi Thaharta nahin hai aab-e-rawan
Thaharti hain to sirf yaKH-basta yaaden aur
chand saniye ke liye
tarik daldal se musalsal
baramad hone wala
sat suron ka sargam
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.