nowember se december tak part 1
november jab bhī aatā hai
udāsī saath laatā hai
kisī kāġhaz ke TukḌe pe
agar kuchh likh ke maiñ chhoḌūñ
to vo murjhā hī jaatā hai
darīcha jab bhī khultā hai
nigal jaatā hai ḳhvāboñ ko
sunā.ī phir nahīñ detā
koī naġhma bahāroñ kā
dikhā.ī phir nahīñ paḌtā
koī chehra havāoñ kā
udhar kī reshmī shāmeñ
mujhe āvāz detī haiñ
ki ab tum lauT bhī aao
mujhe ābād hī kar do
chhupā kar merī āñkhoñ se
uḌā kar saath le jaao
koī aisī jagah mujh ko
jahāñ par ab december kī
vo halkī dhuup aatī ho
jahāñ par saikḌoñ afrād
mere ham-navā bhī hoñ
jahāñ par dhuup Dhalte hī
mirī parchhā.ī merā saath na chhoḌe
mujhe ma.alūm hai ye sab
nahīñ mumkin hai jīte-jī
jahāñ dil meñ mire
ḳhvāhish uThātī hai kabhī ab sar
maiñ us ko rok detā huuñ
november jaate jaate phir
kisī kāġhaz ke TukḌe par
maiñ apne naam kā a likh ke yūñhī chhoḌ detā huuñ
nowember jab bhi aata hai
udasi sath lata hai
kisi kaghaz ke TukDe pe
agar kuchh likh ke main chhoDun
to wo murjha hi jata hai
daricha jab bhi khulta hai
nigal jata hai KHwabon ko
sunai phir nahin deta
koi naghma bahaaron ka
dikhai phir nahin paDta
koi chehra hawaon ka
udhar ki reshmi shamen
mujhe aawaz deti hain
ki ab tum lauT bhi aao
mujhe aabaad hi kar do
chhupa kar meri aankhon se
uDa kar sath le jao
koi aisi jagah mujh ko
jahan par ab december ki
wo halki dhup aati ho
jahan par saikDon afrad
mere ham-nawa bhi hon
jahan par dhup Dhalte hi
meri parchhai mera sath na chhoDe
mujhe malum hai ye sab
nahin mumkin hai jite-ji
jahan dil mein mere
KHwahish uThati hai kabhi ab sar
main us ko rok deta hun
nowember jate jate phir
kisi kaghaz ke TukDe par
main apne nam ka a likh ke yunhi chhoD deta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.