nukta
duniyā ko haqīqat ke ujāloñ se sajā.eñ
goshoñ meñ samo deñ ruḳh-e-tanvīr-e-mohabbat
ehsās ke hoñToñ pe rakheñ sā.at-e-naġhma
har aks ko mil jaa.e sarāpe kī rifāqat
andāz bhī faanī shab-e-gulnār bhī faanī
hangāma-e-pur-shauq kī dastak bhī nahīñ hai
lab bhuul chuke phuul khilāne kā salīqa
is baat meñ logoñ ko koī shak bhī nahīñ hai
jo Thokareñ khaa.e use nādān kaheñ sab
haañ pair phisal jaa.e to rāhoñ kī ḳhatā kyā
laġhzish to har ik aañkh kī taqdīr hai shāyad
manzil ko magar hādsa-e-ġham kā pata kyā
rāhoñ meñ bichhā dī haiñ ḳhayālāt kī palkeñ
lamhoñ kī tarah muntazir-e-dīd khaḌā huuñ
āñkhoñ meñ jalā.e hue ḳhurshīd khaḌā huuñ
vo aane hī vaalī hai chalo aa hī ga.ī vo
bārish lab-o-ruḳhsār pe barsā hī ga.ī vo
ḳhushbū kī tarah ruuh pe lahrā hī ga.ī vo
mafhūm-e-rifāqat mujhe samjhā hī ga.ī vo
lekin ye tasavvur ke hasīñ aks haiñ shāyad
jhoñke se havā ke koī pattā nahīñ khaḌkā
dastak se dar-e-shauq kī dhaḌkan kahāñ chauñkī
sargoshī se sāñsoñ meñ kahāñ itr ghulā hai
sākit hai abhī tak kahāñ darvāza khulā hai
chehre pe numāyāñ koī dhuñdlā.ī kiran hai
mahkā na javāñ hoñToñ pe ash.ār kā saaya
bikhrī na koī zulf na raushan huiiñ rāteñ
maiñ so gayā kar ke dil-e-zār se bāteñ
duniya ko haqiqat ke ujalon se sajaen
goshon mein samo den ruKH-e-tanwir-e-mohabbat
ehsas ke honTon pe rakhen saat-e-naghma
har aks ko mil jae sarape ki rifaqat
andaz bhi fani shab-e-gulnar bhi fani
hangama-e-pur-shauq ki dastak bhi nahin hai
lab bhul chuke phul khilane ka saliqa
is baat mein logon ko koi shak bhi nahin hai
jo Thokaren khae use nadan kahen sab
han pair phisal jae to rahon ki KHata kya
laghzish to har ek aankh ki taqdir hai shayad
manzil ko magar hadsa-e-gham ka pata kya
rahon mein bichha di hain KHayalat ki palken
lamhon ki tarah muntazir-e-did khaDa hun
aankhon mein jalae hue KHurshid khaDa hun
wo aane hi wali hai chalo aa hi gai wo
barish lab-o-ruKHsar pe barsa hi gai wo
KHushbu ki tarah ruh pe lahra hi gai wo
mafhum-e-rifaqat mujhe samjha hi gai wo
lekin ye tasawwur ke hasin aks hain shayad
jhonke se hawa ke koi patta nahin khaDka
dastak se dar-e-shauq ki dhaDkan kahan chaunki
sargoshi se sanson mein kahan itr ghula hai
sakit hai abhi tak kahan darwaza khula hai
chehre pe numayan koi dhundlai kiran hai
mahka na jawan honTon pe ashaar ka saya
bikhri na koi zulf na raushan huin raaten
main so gaya kar ke dil-e-zar se baaten
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.