nuqush
kachchī dīvār se girtī huī miTTī kī tarah
kaañp kaañp uThtā hai barbād-e-mohabbat kā vajūd
hasrateñ suut ke dhāgoñ kī tarah nāzuk haiñ
dard kī kauḌiyāñ kis tarah bañdheñgī in meñ
kaun ghuTnoñ meñ liye sar ko akelā tanhā
roz rotā hai murādoñ ke hasīñ manDap meñ
kitnī vīrān hai ujḌe hue ḳhvāboñ kī muñDer
bhūlī-bisrī huī yādoñ ke papīhe chup haiñ
haa.e kyā shaam thī vo shaam vo dehāt kī shaam
merī ā.ankhoñ meñ dhanak jhuul ga.ī panghaT par
aur jab jhuum ke alġhūza uThāyā maiñ ne
chāñdnī apnā ghaḌā bhuul ga.ī panghaT par
niiñd ke nashshe meñ lahrāne lagīñ maTiyāreñ
apnī hī bāñhoñ meñ bil khāne lagīñ maTiyārīñ
mere alġhūze kī har taan se pighlā tirā ruup
mere har giit se barsī kabhī chhāñv kabhī dhuup
kaun barsoñ kī bujhī raakh kurede ai dost
gaañv se duur kisī ajnabī rah-rav kī tarah
shab kī tanhā.ī ke jañgal meñ ghirā baiThā huuñ
dil meñ zaḳhmoñ ke sulagte hue kuchh naqsh liye
ek dhundlā sā tasavvur hai kisī sapne kā
varna har lamha-e-sayyāl mujhe yaad nahīñ
terī sūrat to bahut der huī bhuul ga.ī
ab to apne bhī ḳhat-o-ḳhāl mujhe yaad nahīñ
kachchi diwar se girti hui miTTi ki tarah
kanp kanp uThta hai barbaad-e-mohabbat ka wajud
hasraten sut ke dhagon ki tarah nazuk hain
dard ki kauDiyan kis tarah bandhengi in mein
kaun ghuTnon mein liye sar ko akela tanha
roz rota hai muradon ke hasin manDap mein
kitni viran hai ujDe hue KHwabon ki munDer
bhuli-bisri hui yaadon ke papihe chup hain
hae kya sham thi wo sham wo dehat ki sham
meri aaankhon mein dhanak jhul gai panghaT par
aur jab jhum ke alghuza uThaya main ne
chandni apna ghaDa bhul gai panghaT par
nind ke nashshe mein lahrane lagin maTiyaren
apni hi banhon mein bil khane lagin maTiyarin
mere alghuze ki har tan se pighla tera rup
mere har git se barsi kabhi chhanw kabhi dhup
kaun barson ki bujhi rakh kurede ai dost
ganw se dur kisi ajnabi rah-raw ki tarah
shab ki tanhai ke jangal mein ghira baiTha hun
dil mein zaKHmon ke sulagte hue kuchh naqsh liye
ek dhundla sa tasawwur hai kisi sapne ka
warna har lamha-e-sayyal mujhe yaad nahin
teri surat to bahut der hui bhul gai
ab to apne bhi KHat-o-KHal mujhe yaad nahin
- Book : Khushbu Ka Khwab (Pg. 118)
- Author : Prem Warbartani
- Publication : Miss V. D. Kakkad (1976)
- Edition : 1976
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.