nur-jahan ke mazar par
pahlu-e-shāh meñ ye duḳhtar-e-jamhūr kī qabr
kitne gum-gashta fasānoñ kā pata detī hai
kitne ḳhūñ-rez haqā.eq se uThātī hai naqāb
kitnī kuchlī huī jānoñ kā pata detī hai
kaise maġhrūr shahanshāhoñ kī taskīñ ke liye
sāl-hā-sāl hasīnāoñ ke bāzār lage
kaise bahkī huī nazroñ ke ta.ayyush ke liye
surḳh mahloñ meñ javāñ jismoñ ke ambār lage
kaise har shāḳh se muñh-band mahaktī kaliyāñ
noch lī jaatī thiiñ taz.īn-e-haram kī ḳhātir
aur murjhā ke bhī āzād na ho saktī thiiñ
zill-e-subhān kī ulfat ke bharam kī ḳhātir
kaise ik fard ke hoñToñ kī zarā sī jumbish
sard kar saktī thī be-laus vafāoñ ke charāġh
luuT saktī thī damakte hue hāthoñ kā suhāg
toḌ saktī thī mai-e-ishq se labrez ayāġh
sahmī sahmī sī fazāoñ meñ ye vīrāñ marqad
itnā ḳhāmosh hai fariyād-kunāñ ho jaise
sard shāḳhoñ meñ havā chīḳh rahī hai aaise
rūh-e-taqdīs-o-vafā marsiyāñ-ḳhvāñ ho jaise
tū mirī jaan mujhe hairat o hasrat se na dekh
ham meñ koī bhī jahāñ-nūr o jahāñ-gīr nahīñ
tū mujhe chhoḌ ke Thukrā ke bhī jā saktī hai
tere hāthoñ meñ mire haath haiñ zanjīr nahīñ
pahlu-e-shah mein ye duKHtar-e-jamhur ki qabr
kitne gum-gashta fasanon ka pata deti hai
kitne KHun-rez haqaeq se uThati hai naqab
kitni kuchli hui jaanon ka pata deti hai
kaise maghrur shahanshahon ki taskin ke liye
sal-ha-sal hasinaon ke bazar lage
kaise bahki hui nazron ke tayyush ke liye
surKH mahlon mein jawan jismon ke ambar lage
kaise har shaKH se munh-band mahakti kaliyan
noch li jati thin tazin-e-haram ki KHatir
aur murjha ke bhi aazad na ho sakti thin
zill-e-subhan ki ulfat ke bharam ki KHatir
kaise ek fard ke honTon ki zara si jumbish
sard kar sakti thi be-laus wafaon ke charagh
luT sakti thi damakte hue hathon ka suhag
toD sakti thi mai-e-ishq se labrez ayagh
sahmi sahmi si fazaon mein ye viran marqad
itna KHamosh hai fariyaad-kunan ho jaise
sard shaKHon mein hawa chiKH rahi hai aaise
ruh-e-taqdis-o-wafa marsiyan-KHwan ho jaise
tu meri jaan mujhe hairat o hasrat se na dekh
hum mein koi bhi jahan-nur o jahan-gir nahin
tu mujhe chhoD ke Thukra ke bhi ja sakti hai
tere hathon mein mere hath hain zanjir nahin
- Book : Kulliyat-e-Sahir (Pg. 113)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.